Labon Pe Gulaab Rakhte Hain

Dilon Mein Aag Labon Pe Gulaab Rakhte Hain,
Sab Apne Chehron Pe Dohre Naqaab Rakhte Hain.

Humein Chirag Samajh Kar Bujha Na Paaoge,
Hum Apne Ghar Mein Kayi Aaftaab Rakhte Hain.

Bahut Se Log Ke Jo Harf-Aashna Bhi Nahi,
Isee Mein Khush Hain Ke Teri Kitaab Rakhte Hain,

Ye Maiqada Hai, Wo Masjid Hai, Wo Hai But-Khana,
Kahin Bhi Jaao Farishte Hisaab Rakhte Hain.

Humare Shahar Ke Manjar Na Dekh Payenge,
Yahan Ke Log Aankhon Mein Khwab Rakhte Hain.

दिलों में आग लबों पर गुलाब रखते हैं,
सब अपने चेहरों पे दोहरी नका़ब रखते हैं,

हमें चराग समझ कर बुझा न पाओगे,
हम अपने घर में कई आफ़ताब रखते हैं,

बहुत से लोग कि जो हर्फ़-आश्ना भी नहीं,
इसी में खुश हैं कि तेरी किताब रखते हैं,

ये मैकदा है, वो मस्जिद है, वो है बुत-खाना,
कहीं भी जाओ फ़रिश्ते हिसाब रखते हैं,

हमारे शहर के मंजर न देख पायेंगे,
यहाँ के लोग तो आँखों में ख्वाब रखते हैं।

-Advertisement-
-Advertisement-