आँसू शायरी

Hansti Aankhon Mein Aansoo

Hansti Aankhon Mein Aansoo Shayari

Rone Ki Sazaa Hai Na Rulaane Ki Sazaa Hai,
Yeh Dard Mohabbat Ko Nibhane Ki Sazaa Hai,
Hanste Hain Toh Aankhon Se Nikalte Hain Aansoo,
Yeh Uss Shakhs Se Dil Lagaane Ki Sazaa Hai.

रोने की सज़ा है न रुलाने की सज़ा है,
ये दर्द मोहब्बत को निभाने की सज़ा है,
हँसते हैं तो आँखों से निकलते हैं आँसू,
ये उस शख्स से दिल लगाने की सज़ा है।

-Advertisement-

Aankhon Mein Aansoo Leke

आँखों में आँसू लेके होठों से मुस्कुराये,
हम जैसे जी रहे हैं कोई जी के तो बताये।

Aankhon Mein Aansoo Leke Hothon Se Muskuraaye,
Hum Jaise Jee Rahe Hain Koi Jee Ke To Bataaye.

-Advertisement-

Aankhein Barasti Hain

Aankhein Barasti Hain Shayari

Humare Shahar Aa Jaao Sadaa Barsaat Rahti Hai,
Kabhi Baadal Baraste Hain Kabhi Aankhein Barasti Hain.

हमारे शहर आ जाओ सदा बरसात रहती है,
कभी बादल बरसते हैं कभी आँखें बरसतीं हैं।

Mohabbat Mein Aansoo Gire

मुझको लूट कर जाने वाले चले गए,
मेरी आँखों से नींद चुरा कर ले गये,
मोहब्बत की दिल से... तो आँसू गिरे,
लोग उन्हें मोती समझकर उठा ले गये।

Mujhko Loot Kar Jaane Wale Chale Gaye,
Meri Aankhon Se Neend Chura Kar Le Gaye,
Mohabbat Kee Dil Se... To Aansoo Gire,
Log Unhen Moti Samajhkar Utha Le Gaye.

-Advertisement-

Aaftaab Ki Garmi Se

आफताब की गर्मी से दरिया का पानी ख़त्म नहीं होता,
लैला के इंकार से मजनू का जज़्बा कम नहीं होता,
फ़िराक की मुसीबत हो या यार के वस्ल की लज़्ज़त,
किसी भी हाल में अश्कों का बहना काम नहीं होता।

Aaftaab Ki Garmi Se Dariya Ka Paani Khatm Nahin Hota,
Laila Ke Inkaar Se Mazanu Ka Jazba Kam Nahin Hota,
Firaak Ki Museebat Ho Ya Yaar Ke Vasl Ki Lazzat
Kisi Bhi Haal Mein Ashqon Ka Behna Kaam Nahin Hota.

-Advertisement-

Ashqon Ki Milawat Hai

Ashqon Ki Milawat Hai Shayari

Mere Khat Mein Jo Bhigi Bhigi Si Likhawat Hai,
Syahi Mein Thodi Si Mere Ashqon Ki Milawat Hai.

मेरे ख़त में जो भीगी भीगी सी लिखावट है,
स्याही में थोड़ी सी मेरे अश्कों की मिलावट है।

Rukte Nahin Hain Aansoo

कलम चलती है तो दिल की आवाज लिखता हूँ,
गम और जुदाई के अंदाज़-ए-बयां लिखता हूँ,
रुकते नहीं हैं मेरी आँखों से आँसू,
मैं जब भी उसकी याद में अल्फाज़ लिखता हूँ।

Kalam Chalti Hai To Dil Ki Aawaaj Likhta Hoon,
Gham Aur Judai Ke Andaaz-e-Bayaan Likhta Hoon,
Rukte Nahin Hain Meri Aankhon Se Aansoo,
Main Jab Bhi Uski Yaad Mein Alfaaz Likhta Hoon.

-Advertisement-

Aankh Se Ashq Ravaan Hon

जान-ए-तन्हा पे गुजर जायें हजारो सदमें,
आँख से अश्क रवाँ हों ये ज़रूरी तो नहीं।

Jaan-e-Tanha Pe Gujar Jaayen Hajaaro Sadmein,
Aankh Se Ashq Ravaan Hon Ye Zaroori To Nahin.