सुविचार

Insaan Ki Shraddha

चाँदनी लहरों को तूफ़ान बना देती है,
मौत जिंदा इंसान को बेजान बना देती है,
रास्ते के पत्थर को पत्थर मत समझना,
क्योंकि इंसान की श्रद्दा उसे भगवान बना देती है।

Chandani Lehron Ko Toofaan Bana Deti Hai,
Maut Zinda Insaan Ko Bejaan Bana Deti Hai,
Raaste Ke Patthar Ko Patthar Mat Samajhna,
Kyonki Insaan Ki Shradda Use Bhagwaan Bana Deti Hai.

-Advertisement-

Yakeen Aur Dua

Yakeen Aur Dua Shayari

यकीन और दुआ नजर नहीं आते,
मगर नामुमकिन को मुमकिन बना देते हैं।

Yakeen Aur Dua Najar Nahin Aate,
Magar NaMumkin Ko Mumkin Bana Dete Hain.

-Advertisement-

Rishton Mein Nikhaar

रिश्तों में निखार सिर्फ
हाथ मिलाने से नहीं आता,
विपरीत हालातों में हाथ
थामे रहने से आता है।

Rishton Mein Nikhaar Sirf
Haath Milaane Se Nahin Aata,
Vipreet Halaaton Mein Haath
Thaame Rehne Se Aata Hai.

Mehanat Safalata Ki Kunji

हर बार हम ही जीतें, ऐसा जरूरी तो नहीं,
क्योंकि हारना तो विपक्षी भी नहीं चाहता,
इसलिए मेहनत करो और परिणाम पाओ,
क्योंकि मेहनत ही सफलता की कुंजी है।

Har Baar Hum Hi Jeetein, Aisa Jaroori To Nahin,
Kyonki Haarna To Vipakshi Bhi Nahin Chahata,
Isliye Mehanat Karo Aur Parinaam Paao,
Kyonki Mehanat Hi Safalata Ki Kunji Hai.

-Advertisement-

Waqt Katega Muskuraane Se Hi

Waqt Katega Muskuraane Se Hi Shayari

यूँ चेहरे पर उदासी ना ओढ़िये साहब...
वक़्त ज़रूर तकलीफ का है लेकिन कटेगा मुस्कुराने से ही।

Yoon Chehre Par Udaasi Na Odhiye Saahab...
Waqt Zaroor Takaleef Ka Hai Lekin Katega Muskuraane Se Hi.​​​​

-Advertisement-

Duniya Ke Saare Paimaane

दुनिया के सारे पैमाने उस वख्त बदल जाते है,
जब बात खुद के हक़ में नहीं होती है।

Duniya Ke Saare Paimaane Us Waqt Badal Jaate Hai,
Jab Baat Khud Ke Haq Mein Nahin Hoti Hai.

Zindagi Ek Kavita Hai

Zindagi Ek Kavita Hai Shayari

जिंदगी एक कविता है गुनगुनाते रहिये...
मुश्किल है लाख फिर भी मुस्कराते रहिये।

Zindagi Ek Kavita Hai Gungunaate Rahiye...
Mushkil Hai Laakh Phir Bhi Muskuraate Rahiye.

-Advertisement-

Andhere Ko Andhera Nahin

अँधेरे को अँधेरा नहीं
सिर्फ रोशनी मिटा सकती है,
नफरत को नफरत नहीं
सिर्फ प्यार मिटा सकता है।

Andhere Ko Andhera Nahin
Sirf Roshani Mita Sakti Hai,
Nafrat Ko Nafrat Nahin
Sirf Pyaar Mita Sakta Hai.