बेवफा शायरी

Meri Zindagi Bhi Bewafa

Bichhad Ke Tum Se Zindgi Sazaa Lagti Hai,
Yeh Saans Bhi Jaise Mujhse Khafa Lagti Hai,
Tadap UthhTa Hun Dard Ke Maare,
Zakhmo Ko Jab Tere Shahar Ki Hawa Lagti Hai,
Agar Umeed-e-Wafa Karun Toh Kis Se Karun,
MujhKo To Meri Zindagi Bhi Bewafa Lagti Hai.

बिछड़ के तुम से ज़िंदगी सज़ा लगती है,
यह साँस भी जैसे मुझ से ख़फ़ा लगती है,
तड़प उठता हूँ दर्द के मारे,
ज़ख्मों को जब तेरे शहर की हवा लगती है,
अगर उम्मीद-ए-वफ़ा करूँ तो किस से करूँ,
मुझ को तो मेरी ज़िंदगी भी बेवफ़ा लगती है।

-Advertisement-

To Bewafa Kahna

Teri Chaukhat Se Sir Uthau To Bewafa Kahna,
Tere Siwa Kisi Aur Ko Chaahu To Bewafa Kahna,
Meri Wafaon Pe Shaq Hai To Khanzar Utha Lena,
Main Shauq Se Na Mar Jayun To Bewafa Kahna !

तेरी चौखट से सिर उठाऊं तो बेवफा कहना,
तेरे सिवा किसी और को चाहूँ तो बेवफा कहना,
मेरी वफाओं पे शक है तो खंजर उठा लेना,
मैं शौक से मर ना जाऊं तो बेवफा कहना ।

-Advertisement-

Pahle Ishq Fir Dhokha

Pahle Ishq Fir Dhokha Shayari

Pahle Ishq Fir Dhokha Fir Bewafai,
Badi Tarkeeb Se Ek Shakhs Ne Tabaah Kiya !

पहले इश्क फिर धोखा फिर बेवफ़ाई,
बड़ी तरकीब से एक शख्स ने तबाह किया ।

Wo Bewafa Nikala

Wo Bewafa Nikala Shayari

Meri Talaash Ka Zurm Hai
Ya Meri Wafa Ka Qasoor,
Jo Dil Ke Qareeb Aya
Wohi Bewafa Nikala !

मेरी तलाश का है जुर्म
या मेरी वफा का क़सूर,
जो दिल के करीब आया
वही बेवफा निकला।

-Advertisement-

Zindgi Chheen Li Mujhse

Pahle Zindgi Chheen Li Mujhse,
Ab Meri Maut Ka Fayeda Uthati Hai,
Meri Qabr Pe Phool Chadaane Ke Bahane,
Qo Kisi Aur Se Milane Aati Hai !

पहले ज़िन्दगी छीन ली मुझसे,
अब मेरी मौत का वो फायदा उठाती है,
मेरी कब्र पे फूल चढाने के बहाने,
वो किसी और से मिलने आती है।

-Advertisement-

Bewafai Ka Mausam Bhi

Bewafai Ka Mausam Bhi Shayari

Bewafai Ka Mausam Bhi
Ab Yahan Aane Laga Hai,
Wo Fir Se Kisi Aur Ko
Dekhkar Muskurane Laga Hai!

बेवफायी का मौसम भी
अब यहाँ आने लगा है,
वो फिर से किसी और को
देख कर मुस्कुराने लगा है ।

Bewafa Yaar Mila

Bewafa Yaar Mila Shayari

Hame Na Mohabbat Mili Na Pyaar Mila,
Hum Ko Jo Bhi Mila Bewafa Yaar Mila !

Apni To Ban Gayi Tamasha Zindgi,
Har Koyi Maqsad Ka Talabgaar Mila !

हमें न मोहब्बत मिली न प्यार मिला,
हम को जो भी मिला बेवफा यार मिला ।

अपनी तो बन गई तमाशा ज़िन्दगी,
हर कोई मकसद का तलबगार मिला ।

-Advertisement-

Bhale Hi Kisi Ghair Ki

Bhale Hi Kisi Ghair Ki Shayari

Bhale Hi Kisi Ghair Ki Jaagir Thi Wo,
Par Mere Khwabon Ki Tasveer Thi Wo,
Mujhe Milti To Kaise Milti,
Kisi Aur Ke Hisse Ki Taqdeer Thi Wo.

भले किसी ग़ैर की जागीर थी वो,
पर मेरे ख्वाबों की तस्वीर थी वो,
मुझे मिलती तो कैसी मिलती...
किसी और के हिस्से की तकदीर थी वो ।