ग़म शायरी

Shab-e-Gham Mein Museebat

अज़ल भी टल गई
देखी गई हालत न आँखों से,
शब-ए-ग़म में मुसीबत सी
मुसीबत हम ने झेली है।

Azal bhi Tal Gayi
Dekhi Gayi Haalat Na Aankhon Se,
Shab-e-Gham Mein Museebat Si
Museebat Hum Ne Jheli Hai

-Advertisement-

Mujhe Rone Nahin Diya

Mujhe Rone Nahin Diya Shayari

पत्थर बना दिया मुझे रोने नहीं दिया,
दामन भी तेरे ग़म ने भिगोने नहीं दिया।

तन्हाईयाँ तुम्हारा पता पूछती रहीं,
शब् भर तुम्हारी याद ने सोने नहीं दिया।

आँखों में आकर बैठ गई आँसुओं की लहर,
पलकों पे कोई ख्वाब पिरोने नहीं दिया।

Patthar Bana Diya Mujhe Rone Nahin Diya,
Daaman Bhi Tere Gam Ne Bhigone Nahin Diya.

Tanhaiyaan Tumhara Pata Poochhti Rahin,
Shab Bhar Tumhari Yaad Ne Sone Nahin Diya.

Aankhon Mein Aakar Baith Gayi Aansuon Ki Lehar,
Palkon Pe Koyi Khwaab Pirone Nahin Diya.

-Advertisement-

Deeye Ki Tarah Samajha

तुमने भी हमें बस एक दीये की तरह समझा,
रात हुई तो जला दिया सुबह हुई तो बुझा दिया।

Tumne Bhi Humein Bas Ek Deeye Ki Tarah Samajha,
Raat Huyi To Jala Diya Subah Huyi To Bujha Diya.

Gam-e-Aarzoo Teri

Gam-e-Aarzoo Teri Raah Mein,
Shab-e-Aarzoo Teri Chaah Mein,
Jo Ujad Gaya Wo Basa Nahin,
Jo Bichhad Gaya Wo Mila Nahin.

ग़म-ए-आरज़ू तेरी राह में,
शब्-ए-आरज़ू तेरी चाह में,
जो उजड़ गया वो बसा नहीं,
जो बिछड़ गया वो मिला नहीं।

-Advertisement-

Jarurat Gam Chhupane Ki

Jarurat Gam Chhupane Ki Shayari

अकेला हो गया हूँ इस ज़माने में,
इसलिए डरता हूँ सच बताने में,
ग़म छुपाने की जरुरत अब नहीं पड़ती,
क्यूँ माहिर हो गया हूँ मुस्कुराने में।

Akela Ho Gaya Hoon Iss Zamane Mein,
Isliye Darta Hoon Sach Bataane Mein,
Gam Chhupane Ki Jarurat Ab Nahin Padti,
Kyoon Mahir Ho Gaya Hoon Muskurane Mein.

-Advertisement-

Gam Bhi Mere Naam

शायद उसे अजीज़ थीं मेरी उदासियाँ,
जाने लगा तो ग़म भी मेरे नाम कर दिया।

Shayad Usey Ajeez Thi Meri Udaasiyan,
Jaane Laga To Gham Bhi Mere Naam Kar Diya.

Gam Dene Ki Chaahat Mein

तुम खुद ही उलझ जाओगे
मुझे ग़म देने की चाहत में,
मुझमे हौंसला बहुत है
मुस्कुराकर निकल जाऊँगा।

Tum Khud Hi Ulajh Jaoge
Mujhe Gam Dene Ki Chaahat Mein,
Mujhme Haunsla Bahut Hai
Muskurakar Nikal Jaoonga.

-Advertisement-

De Gaya Gham Mujhe

De Gaya Gham Mujhe Shayari

De Gaya Gham Mujhe Tohfe Mein
Mila Wo Jab Bhi,
Maine Ek Shakhs Ko Kyun Kar
Bhala Samjha Apna.

दे गया ग़म मुझे तोहफे में मिला वो जब भी,
मैंने एक शख्स को क्यूँ कर भला समझा अपना।