ग़म शायरी

Gam Bhi Unka Azeej Hai

मुझे ग़म भी उनका अज़ीज है
कि उन्हीं की दी हुई चीज़ है,
यही ग़म है अब मेरी जिंदगी
इसे कैसे दिल से जुदा करूँ।

Mujhe Gam Bhi Unka Azeej Hai
Ki Unhin Ki Dee Hui Cheez Hai,
Yahi Gam Hai Ab Meri Zindagi
Ise Kaise Dil Se Juda Karoon.

-Advertisement-

Hisaab Kitne Hain

Hisaab Kitne Hain Shayari

तमाम उम्र ताल्लुक़ का बोझ कौन सहे,
उसे कहो के चुका ले हिसाब कितने हैं।

Tamaam Umra Talluk Ka Bojh Kaun Sahe,
Unse Keh Do Chuka Le Hisaab Kitne Hain.

-Advertisement-

Gam Pee Jaane Ke Liye

आँसू होते नहीं बहाने के लिए,
ग़म होते हैं पी जाने के लिए,
मत सोचना किसी को पाने के लिए,
वरना जिंदगी कम पड़ जाएगी,
उसको भुलाने के लिए।

Aansoo Hote Nahin Bahane Ke Liye,
Gam Hote Hain Pee Jaane Ke Liye,
Mat Sochna Kisi Ko Paane Ke Liye,
Varna Jindagi Kam Pad Jayegi,
Usko Bhulaane Ke Liye.

Zindagi Sitam Ho Gayi

ज़िन्दगी हमारी यूँ सितम हो गई,
खुशी न जाने कहाँ दफन हो गई,
लिखी खुदा ने मोहब्बत सबकी तकदीर में,
हमारी बारी आई तो स्याही खत्म हो गई।

Zindagi Humaari Yoon Sitam Ho Gayi,
Khushi Na Jaane Kahaan Dafan Ho Gayi,
Likhi Khuda Ne Mohabbat Sabki Takdeer Mein,
Humaari Baari Aai To Syaahi Khatm Ho Gayi.

-Advertisement-

Pyaar Ki Raah Mein Gam

Pyaar Ki Raah Mein Gam Shayari

प्यार की राह में ग़म का अँधेरा आता क्यूँ है,
जिसको हमने चाहा वही रुलाता क्यूँ है,
वो मेरे नसीब में नहीं है तो खुदा,
बार-बार हमें उसी से मिलाता क्यूँ है।

Pyaar Ki Raah Mein Gam Ka Andhera Aata Kyoon Hai,
Jisko Humne Chaaha Wahi Rulaata Kyoon Hai,
Wo Mere Naseeb Mein Nahin Hai To Khuda,
Baar-Baar Humein Usi Se Milaata Kyoon Hai?

-Advertisement-

Gam Ke Raaste Pe

भटकते रहे हैं बादल की तरह,
सीने से लगा लो आँचल की तरह,
ग़म के रास्ते पे ना छोड़ना अकेले,
वरना टूट जाएँगे पायल की तरह।

Bhatakte Rahe Hain Baadal Ki Tarah,
Seene Se Laga Lo Aanchal Ki Tarah,
Gam Ke Raaste Pe Na Chhodna Akele,
Varna Toot Jayenge Paayal Ki Tarah.

Na Hijr Hai Na Vasl Hai

Na Hijr Hai Na Vasl Hai Shayari

न हिज्र है, न वस्ल है, अब इसको क्या कहें,
फूल शाख पर तो है मगर खिला नहीं रहा।

Na Hijr Hai, Na Vasl Hai, Ab Isko Kya Kahein,
Phool Shaakh Par To Hai Magar Khila Nahin Raha.

-Advertisement-

Ujale Mere Dar Par

हम भी कभी मुस्कुराया करते थे,
उजाले मेरे दर पर शोर मचाया करते थे,
उसी दीये ने जला दिया मेरे हाथों को,
जिस दीये को हम हवा से बचाया करते थे।

Hum Bhi Kabhi Muskuraya Karte The,
Ujale Mere Dar Par Shor Machaya Karte The,
Usee Deeye Ne Jala Diya Mere Haathon Ko,
Jis Deeye Ko Hum Hawa Se Bachaya Karte The.