इंतज़ार शायरी

Bharosa Laut Aane Ka

मेरी निगाह में फिर कोई दूसरा चेहरा नहीं आया,
भरोसा ही कुछ ऐसा था तुम्हारे लौट आने का।

Meri Nigaah Mein Phir Koi Doosra Chehra Nahin Aaya,
Bharosa Hi Kuchh Aisa Tha Tumhare Laut Aane Ka.

-Advertisement-

Talaash Aapko Ye Najar

आपकी जुदाई भी हमें प्यार करती है,
आपकी यादें भी हमे बेकरार करती है,
आते जाते यूँ ही हो जाए मुलाकात आपसे,
तलाश आपको ये नजर बार बार करती है।

Aapki Judai Bhi Humein Pyaar Karti Hai,
Aapki Yaad Bhi Humein Bekaraar Karti Hai,
Aate Jaate Yoon Hi Ho Jaye Mulakaat Aapse,
Talaash Aapko Ye Najar Baar Baar Karti Hai.

-Advertisement-

Kis Ka Mujhe Intezaar Hai

Kis Ka Mujhe Intezaar Hai Shayari

मुद्दत से ख्वाब में भी नहीं नींद का ख्याल,
हैरत में हूँ ये किस का मुझे इंतज़ार है।

Muddat Se Khwaab Mein Bhi Nahin Neend Ka Khyaal,
Hairat Mein Hoon Ye Kis Ka Mujhe Intezaar Hai.

Der Lagi Aane Mein Tumko

देर लगी आने में तुमको,
शुक्र है फिर भी आये तो,
आस ने दिल का साथ न छोड़ा,
वैसे हम घबराये तो।

Der Lagi Aane Mein Tumko,
Shukr Hai Phir Bhi Aaye To,
Aas Ne Dil Ka Saath Na Chhoda,
Waise Hum Ghabraaye To.

-Advertisement-

Tere Intezaar Mein Kab Se

Tere Intezaar Mein Kab Se Shayari

तेरे इंतजार में कब से उदास बैठे हैं,
तेरे दीदार में आँखे बिछाये बैठे हैं,
तू एक नज़र हम को देख ले बस,
इस आस में कब से बेकरार बैठे हैं।

Tere Intezaar Mein Kab Se Udaas Baithhe Hain,
Tere Deedaar Mein Aankhe Bichhaaye Baithe Hain,
Tu Ek Nazar Hum Ko Dekh Le Bas,
Iss Aas Mein Kab Se Bekaraar Baithe Hain.

-Advertisement-

Intezaar Sahar Ka Tha

Intezaar Sahar Ka Tha Shayari

ये इंतज़ार सहर का था या तुम्हारा था,
दिया जलाया भी मैंने दिया बुझाया भी।

Ye Intezaar Sahar Ka Tha Ya Tumhaara Tha,
Diya Jalaaya Bhi Maine Diya Bujhaya Bhi.

Aate Nahi Aane Wale

Dil Jalaao Ya Diye Aankhon Ke Darwaje Par,
Waqt Se Pahle To Aate Nahi Aane Wale.

दिल जलाओ या दिए आँखों के दरवाज़े पर,
वक़्त से पहले तो आते नहीं आने वाले।

-Advertisement-

Milo Usee Tadap Se

Milo Usee Tadap Se Shayari

लौट आओ और मिलो उसी तड़प से,
अब तो मुझे मेरी वफाओं का सिला दे दो,
इंतजार ख़त्म नहीं होता है आँखों का,
किसी शब् अपनी एक झलक दे दो।

Laut Aao Aur Milo Usi Tadap Se,
Ab To Mujhe Meri Wafaaon Ka Sila De Do,
Intezaar Khatm Nahin Hota Hai Aankhon Ka,
Kisi Shab Apni Ek Jhalak De Do.