सैड शायरी

Aawara Khayalon Ki Tarah

Aawara Khayalon Ki Tarah Shayari

Mujhse Najar To Milao Ke Hajaaro Chehre,
Meri Aankhon Mein Sulagte Hain Sawalon Ki Tarah,
Justjoo Ne Kisi Manzil Pe Thhehrne Na Diya,
Hum Bhatakte Rahe Aawara Khayalon Ki Tarah.

मुझसे नजरें तो मिलाओ कि हजारों चेहरे,
मेरी आँखों में सुलगते हैं सवालों की तरह,
जुस्तजू ने किसी मंजिल पे ठहरने न दिया,
हम भटकते रहे आवारा ख्यालों की तरह।

-Advertisement-

Zamane Bhar Ko

Zamane Bhar Ko Shayari

Chalo Achha Hua Kaam Aa Gayi Deewangi Apni,
Varna Hum Zamane Bhar Ko Samjhane Kahan Jate.

चलो अच्छा हुआ काम आ गयी दीवानगी अपनी,
वरना हम ज़माने भर को समझाने कहाँ जाते।

-Advertisement-

Mujhe Wo Chhod Gaya

मुझे वो छोड़ गया ये कमाल है उस का,
इरादा मैंने किया था कि छोड़ दूँगा उसे।

Mujhe Wo Chhod Gaya Ye Kamaal Hai Usa Ka,
Iraada Main Ne Kiya Tha Ki Chhod Doonga Usey.

बंद कर लीं आँखें

यूँ हुआ फिर बंद कर लीं
उसने आँखें एक दिन,
वो समझ लेता था
दिल का हाल चेहरा देख कर।

-Advertisement-

Khwaabon Ne Kar Diya Barbaad

जिंदगी जैसी एक हसीं शै को,
चंद ख्वाबों ने कर दिया बरबाद,
कुछ हसीनों ने कर दिया घायल,
कुछ शराबों ने कर दिया बरबाद।

Zindagi Jaisi Ek Haseen Shay Ko,
Chand Khwaabon Ne Kar Diya Barbaad,
Kuchh Haseenon Ne Kar Diya Ghaayal,
Kuchh Sharaabon Ne Kar Diya Barbaad.

-Advertisement-

Jhooth Hi Likh Do

जरा-सा झूठ ही लिख दो
कि तुम बिन दिल नहीं लगता,
हमारा दिल बहल जाए
तो तुम फिर से मुकर जाना।

Jara-Sa Jhooth Hi Likh Do
Ki Tum Bin Dil Nahin Lagta,
Hamaara Dil Bahal Jaye
To Tum Phir Se Mukar Jaana.

Tum Agar Bhool Bhi Jaao

तुम अगर याद रखोगे तो इनायत होगी,
वरना हमको कहाँ तुम से शिकायत होगी,
ये तो बेवफा लोगों की दुनिया है,
तुम अगर भूल भी जाओ तो रिवायत होगी।

Tum Agar Yaad Rakhoge To Inaayat Hogi,
Varna Humko Kahaan Tum Se Shikayat Hogi,
Ye To BeWafa Logon Ki Duniya Hai,
Tum Agar Bhool Bhi Jaao To Riwaayat Hogi.

-Advertisement-

Saanse Meri Na Theen

मालूम था कि मेरी साँसे मेरी न थीं कभी,
बस इक शौक था उसके साथ जीने का।

Maaloom Tha Ki Meri Saanse Meri Na Theen Kabhi,
Bas Ik Shauk Tha Uske Saath Jeene Ka.