सैड शायरी

Magar Aansoo Nikal Pade

इतना तो ज़िंदगी में, न किसी की खलल पड़े,
हँसने से हो सुकून, न रोने से कल पड़े,
मुद्दत के बाद उसने, जो की लुत्फ़ की निगाह,
जी खुश तो हो गया, मगर आँसू निकल पड़े।

Itna To Zindagi Mein, Na Kisi Ki Khalal Pade,
Hansne Se Ho Sukoon, Na Rone Se Kal Pade,
Muddat Ke Baad Usne, Jo Ki Lutf Ki Nigaah,
Jee Khush To Ho Gaya, Magar Aansoo Nikal Pade.

-Advertisement-

Ek Dariya Ka Najaara

बहुत लहरों को पकड़ा डूबने वाले के हाथों ने,
यही बस एक दरिया का नजारा याद रहता है,
मैं किस तेजी से जिन्दा हूँ मैं ये तो भूल जाता हूँ,
नहीं आना है दुनिया में दोबारा याद रहता है।

Bahut Lehron Ko Pakda Doobne Wale Ke Haathon Ne,
Yahi Bas Ek Dariya Ka Najaara Yaad Rehta Hai,
Main Kis Tezi Se Zinda Hoon Main Ye To Bhool Jaata Hoon,
Nahin Aana Hai Duniya Mein Dobaara Yaad Rehta Hai.

-Advertisement-

Berukhi Ki Intehaan

देखी है बेरुखी की... आज हम ने इन्तेहाँ,
हमपे नजर पड़ी तो वो महफ़िल से उठ गए।

Dekhi Hai Berukhi Ki... Aaj Hum Ne Intehaan,
Humpe Najar Padi To Wo Mehfil Se Uthh Gaye.

Na Justzoo Ka Sila Mila

Na Justzoo Ka Sila Mila Shayari

हमें अपने घर से चले हुए,
सरे राह उमर गुजर गई,
न कोई जुस्तजू का सिला मिला,
न सफर का हक ही अदा हुआ।

Humein Apne Ghar Se Chale Huye,
Sare Raah Umar Gujar Gayi,
Na Koi Justzoo Ka Sila Mila,
Na Safar Ka Haq Hee Adaa Hua.

-Advertisement-

Chaahat Raas Nahin Aayi

Chaahat Raas Nahin Aayi Shayari

छोड़ गए हमको वो अकेले ही राहों में,
चल दिए रहने वो गैर की पनाहों में,
शायद मेरी चाहत उन्हें रास नहीं आयी,
तभी तो सिमट गए वो औरों की बाँहों में।

Chhod Gaye Humko Wo Akele Hi Raahon Mein,
Chal Die Rehne Wo Gair Ki Panaahon Mein,
Shaayad Meri Chaahat Unhein Raas Nahin Aayi,
Tabhi To Simat Gaye Wo Auron Ki Baanhon Mein.

-Advertisement-

Jo Aansoo Dil Mein

Jo Aansoo Dil Mein Shayari

जो आँसू दिल में गिरते हैं वो आँखों में नहीं रहते,
बहुत से हर्फ़ वो होते हैं जो लफ़्ज़ों में नहीं रहते,
किताबों में लिखे जाते हैं दुनिया भर के अफ़साने,
मगर जिन में हकीकत हो किताबों में नहीं रहते।

Jo Aansoo Dil Mein Girte Hain Wo Aankhon Mein Nahin Rehte,
Bahut Se Harf Wo Hote Hain Jo Lafzon Mein Nahin Rehte,
Kitaabon Mein Likhe Jaate Hain Duniya Bhar Ke Afsaane,
Magar Jin Mein Hakeeqat Ho Kitaabon Mein Nahin Rehte.

Faisla Ho Na Saka

Faisla Ho Na Saka Shayari

Kismat Buri Ya Main Bura Yeh Faisla Ho Na Saka,
Main Har Kisi Ka Ho Gaya Koi Mera Na Ho Saka.

किस्मत बुरी या मैं बुरा... ये फैसला न हो सका,
मैं हर किसी का हो गया कोई मेरा न हो सका।

-Advertisement-

Jhoothhe Vaadon Par

झूठे वादों पर थी अपनी जिंदगी,
अब तो वो भी आसरा जाता रहा।

Jhoothhe Vaadon Par Thi Apni Jindagi,
Ab To Wo Bhi Aasra Jaata Raha.