गिला शिकवा शायरी

Ai Sukoon Kabhi Dil Ke

Ai Sukoon Kabhi Dil Ke Shayari

Ai Sukoon... Kabhi Dil Ke
Haal Hi Poochh Liya Karo,

Maloom To Hamen Bhi Hai
Ki Hum Aapke Kuchh Nahi Lagte..!

ऐ सुकून... कभी दिल के
हाल ही पूँछ लिया करो...।

मालूम तो हमें भी है कि हम
आपके अब कुछ नहीं लगते..।।

-Advertisement-

Pyaar Tujhse Maine Kiya

Pyaar Tujhse Maine Kiya Shayari

Kya Batau Kaise Khud Ko Dar-Ba-Dar Maine Kiya,
Umr Bhar Kis Kis Ke Hisse Ka Safar Maine Kiya,
Tu To Nafrat Bhi Na Kar Payega Is Shiddat Ke Saath,
Jis Bala Ka Pyaar Bekhabar Tujhse Maine Kiya !

क्या बताऊ कैसे खुद को दरबदर मैंने किया,
उम्र भर किस किस के हिस्से का सफ़र मैंने किया,
तू तो नफरत भी न कर पायेगा इस शिद्दत के साथ,
जिस बला का प्यार बेखबर तुझसे मैंने किया ।

-Advertisement-

Wo Bhi Badal Gaya

Wo Bhi Badal Gaya Shayari

Gujre Dino Ki Bhooli Huyi Baat Ki Tarah,
Aankho Me Jagta Hai Koyi Raat Ki Tarah,
Us Se Umeed Thi Ki Nibhayega Saath Wo,
Wo Bhi Badal Gaya Mere Halaat Ki Tarah !

गुज़रे दिनों की भूली हुई बात की तरह,
आँखों में जागता है कोई रात की तरह,
उससे उम्मीद थी की निभाएगा साथ वो,
वो भी बदल गया मेरे हालात की तरह ।

Kyun Mohabbat Nahi Milti

Kyun Mohabbat Nahi Milti Shayari

Zindgi Se Meri Aadat Nahi Milti,
Mujhe Jeene Ki Surat Nahi Milti,
Koyi Mera Bhi Kabhi Humsafar Hota,
Mujhe Hi Kyun Mohabbat Nahi Milti !

ज़िन्दगी से मेरी आदत नहीं मिलती,
मुझे जीने की सूरत नहीं मिलती,
कोई मेरा भी कभी हमसफ़र होता,
मुझे ही क्यूँ मुहब्बत नहीं मिलती ।

-Advertisement-

Marham Na Sahi

Marham Na Sahi Shayari

Marham Na Sahi Ek Zakhm Hi De De,
Mahsoos To Ho Ke Koyi Hame Bhoola Nahi!

मरहम न सही एक ज़ख्म ही दे दे,
महसूस तो हो के कोई हमें भूला नहीं।

-Advertisement-

Tere Khwab Ka Lalach

Tere Khwab Ka Lalach Shayari

Raat Badi Mushkil Se Khud Ko Sulaya Hai Maine,
Apni Aankho Ko Tere Khwab Ka Lalach Dekar !

रात बड़ी मुश्किल से खुद को सुलाया है मैंने,
अपनी आँखों को तेरे ख्वाब का लालच देकर ।

Ranjishen Bhula Dena

Ranjishen Bhula Dena Shayari

Fursat Mile Jab Bhi To Ranjishen Bhula Dena,
Kaun Jaane Saanso Ki Mohlaten Kahan Tak Hain!

फुर्सत मिले जब भी तो रंजिशे भुला देना,
कौन जाने साँसों की मोहलतें कहाँ तक हैं।

-Advertisement-

Khud Ko Likhte Huye

Khud Ko Likhte Huye Har Baar Likha Hai Tumko,
Is Se Zyada Koyi Zindgi Ko Kya Likhta...?

खुद को लिखते हुए हर बार लिखा है तुमको,
इससे ज्यादा कोई जिंदगी को क्या लिखता...?