तारीफ़ शायरी

Chamakta Chaand Sa Chehra

Chamakta Chaand Sa Chehra Shayari

घनी जुल्फों के साये में
चमकता चाँद सा चेहरा,
तुझे देखूं तो कुछ रातें
सुहानी याद आती हैं।

Ghani Zulfon Ke Saaye Mein
Chamakta Chaand Sa Chehra,
Tujhe Dekhoon To Kuchh Raatein
Suhaani Yaad Aati Hain.

-Advertisement-

Qayamat Toot Padti Hai

क़यामत टूट पड़ती है ज़रा से होंठ हिलने पर,
ना जाने हश्र क्या होगा अगर वो मुस्कुराये तो।

Qayamat Toot Padti Hai Zara Se Honth Hilne Par,
Na Jaane Hashr Kya Hoga Agar Wo Muskuraaye To.

-Advertisement-

Koi Tujh Sa Nahin Hai

Koi Tujh Sa Nahin Hai Shayari

उतरा है मेरे दिल में कोई चाँद नगर से,
अब खौफ ना कोई अंधेरों के सफ़र से,
वो बात है तुझ में कोई तुझ सा नहीं है,
कि काश कोई देखे तुझे मेरी नजर से।

Utra Hai Mere Dil Mein Koi Chaand Nagar Se,
Ab Khauf Na Koi Andheron Ke Safar Se,
Wo Baat Hai Tujh Mein Koi Tujh Sa Nahin Hai,
Ki Kaash Koi Dekhe Tujhe Meri Najar Se.

Mat Kar Itna Guroor

ऐ चाँद मत कर इतना गुरुर...
तुझमें तो दाग है,
पर मेरे वजूद में जो चाँद सिमटा है
वो बेदाग है।

Ai Chaand Mat Kar Itna Guroor...
Tujh Main To Daag Hai,
Par Mere Wajood Mein Jo Chaand Simta Hai
Wo Bedaag Hai.

-Advertisement-

Nigaah Uthe To Subah Ho

Nigaah Uthe To Subah Ho Shayari

निगाह उठे तो सुबह हो...
झुके तो शाम हो जाये,
एक बार मुस्कुरा भर दो
तो कत्ले-आम हो जाये।

Nigaah Uthe To Subah Ho...
Jhuke To Shaam Ho Jaaye,
Ek Baar Muskura Bhar Do
To Qatl-e-Aam Ho Jaaye.

-Advertisement-

Chaand Kehta Raha

तुझको देखा तो फिर किसी को नहीं देखा,
चाँद कहता रहा मैं चाँद हूँ... मैं चाँद हूँ...।

Tujhko Dekha To Phir Kisi Ko Nahin Dekha,
Chaand Kehta Raha Main Chaand Hoon... Main Chaand Hoon...

Teri Zulfon Ki Ghataa

Teri Zulfon Ki Ghataa Shayari

तेरी ज़ुल्फ़ों की घटाओं का
मुंतज़िर हुआ जाता हूँ,
अब ये आलम है कि
बारिश भी सूखी सी लगती है।

Teri Zulfon Ki Ghataaon Ka
Muntazir Hua Jaata Hoon,
Ab Ye Aalam Hai Ki
Baarish Bhi Sookhi Si Lagati Hai.

-Advertisement-

Tu Haseen Lafz

Uff Yeh Nazakat Yeh Shokhiyan Ye Takalluf,
Kahin Tu Urdu Ka Koi Haseen Lafz Toh Nahi.

उफ्फ ये नज़ाकत ये शोखियाँ ये तकल्लुफ़,
कहीं तू उर्दू का कोई हसीन लफ्ज़ तो नहीं।