ग़म शायरी

Read Hindi Gham Shayari for sad boy, girl, man or woman with images.

ग़म के दरिया से बना है

ग़म के दरिया से मिलकर बना है यह सागर,
तुम क्यों इसमें समाने की कोशिश करते हो,
कुछ नहीं है और इस जीवन में दर्द के सिवा,
क्यों मेरी ज़िंदगी में आने की कोशिश करते हो।

-Advertisement-

ग़म में रोये आँसू पिए

ग़म में रोये आँसू पिए Shayari

ग़म में रोये, आँसू पिए,
रातों को तड़पे,
जुनून-ए-मोहब्बत से मिला सबकुछ
सिवा तेरे।

Gham Mein Roye, Aansoo Piye,
Raaton Ko Tadpe,
Junoon-e-Mohabbat Mein Mila Sab Kuchh
Siwa Tere.

-Advertisement-

शायरी दिल को ग़म दे गया

था कोई जो मेरे दिल को ग़म दे गया,
ज़िन्दगी भर न रोने की कसम दे गया,
लाखों में से एक फूल चुना था हमने,
जो काँटों से भी ज्यादा गहरा ज़ख्म दे गया।

Tha Koi Jo Mere Dil Ko Gham De Gaya,
Zindagi Bhar Na Rone Ki Kasam De Gaya,
Lakhon Mein Se Ek Phool Chuna Tha Humne,
Jo Kaanton Se Bhi Gehra Zakhm De Gaya.

Gham Hai Na Ab Khushi Hai

Gham Hai Na Ab Khushi Hai, Na Umeed Hai Na Aas,
Sab Se Nijaat Paaye Zamane Gujar Gaye.

गम है न अब खुशी है, न उम्मीद है न आस,
सब से नजात पाए ज़माने गुजर गए!
~ खुमार बाराबंकवी

-Advertisement-

Aur Rulaana Chahte Hain

मैं आँखें बिछाए बैठा हूँ उन्हीं राहों पर,
मगर शायद वो लौटकर न आना चाहते हैं,
न दो सलाह मुझे खुश रहने की,
शायद वो मुझे अभी और रुलाना चाहते हैं।

Main Aankhein Bichhaye Baitha Hoon Unhin Raahon Par,
Magar Shayad Wo Lautakar Na Aana Chaahte Hain,
Na Do Salah Mujhe Khush Rehne Ki,
Shayad Wo Mujhe Abhi Aur Rulaana Chahte Hain.

-Advertisement-

Zidd Barbaad Kar Gayi

Zidd Barbaad Kar Gayi Shayari

एक ज़िद दोनों को बर्बाद कर गयी...!
उसे हमारा होना नहीं था...
और हमें उसे खोना नहीं था..!!

Ek Zidd Dono Ko Barbaad Kar Gayi..!
Usey Humara Hona Nahi Tha...
Aur Humein Usey Khona Nahi Tha..!!

Ro Ro Kar Bhulaya Hoga

हमारी यादों ने कभी उसको सताया होगा,
आँखों से हमारा चेहरा आँसुओं ने मिटाया होगा,
गम ये नहीं कि वो भूल गया है हमको,
गम ये है कि बहुत रो-रो कर भुलाया होगा।

Humari Yaadon Ne Kabhi Usko Sataya Hoga,
Aankhon Se Humara Chehra Aansuon Ne Mitaya Hoga,
Gham Yeh Nahi Ki Wo Bhool Gaya Hai Humko,
Gham Ye Hai Ki Bahut Ro Ro Kar Bhulaya Hoga.

-Advertisement-

Ye Gham Mera HumSafar

Sakht Raahon Mein Ab Aasan Safar Lagta Hai,
Ab Anjaan Ye Sara Hi Shahar Lagta Hai,
Koi Nahi Hai Mera Zindagi Ki Raah Mein,
Mera Ye Gham Hi Mera Humsafar Lagta Hai.

सख्त राहों में अब आसान सफर लगता है,
अब अनजान ये सारा ही शहर लगता है,
कोई नहीं है मेरा ज़िन्दगी की राह में,
मेरा ये ग़म ही मेरा हमसफ़र लगता है।