ख़ुशी शायरी

Latest Khushi Shayari in Hindi

Teri Khushi Palkon Pe

तेरी ख़ुशी को अपनी पलकों पे सजायेंगे,
हम मर के भी हर एक कसम निभाएंगे,
देने को कुछ भी नहीं है मेरे पास पर,
तेरी ख़ुशी के लिए खुदा तक चले जायेंगे।

Teri Khushi Ko Apni Palkon Pe Sajayenge,
Hum Mar Ke Bhi Har Ek Kasam Nibhayenge,
Dene Ko Kuchh Bhi Nahin Hai Mere Paas Par,
Teri Khushi Ke Liye Khuda Tak Chale Jaayenge.

-Advertisement-

Khushi Ka Koi Jahaan

Chalo Koi Nishaan Dhoondhte Hain,
Dil Ka Behta Huaa Kaarvaan Dhoondhte Hain,
Muddat Ho Gayi Hai Muskuraaye Huye,
Chalo Khushi Ka Koi Jahaan Dhoondhte Hain.

चलो कोई निशाँ ढूँढ़ते हैं,
दिल का बहता हुआ कारवाँ ढूँढ़ते हैं,
मुद्दत हो गयी है मुस्कराये हुए,
चलो खुशी का कोई जहां ढूँढ़ते हैं।
~अर्पणा

-Advertisement-

Khushi Meri Talaash Mein

खुशी मेरी तलाश में दिन-रात
यूँ ही भटकती रही,
कभी उसे मेरा घर न मिला
कभी उसे हम घर न मिले।

Khushi Meri Talaash Mein Din-Raat
Yoon Hi Bhatakti Rahi,
Kabhi Use Mera Ghar Na Mila
Kabhi Use Hum Ghar Na Mile.

Ki Khushi Mil Gayi

यूं आये जिंदगी में कि ख़ुशी मिल गई,
मुश्किल राहों में चलने की वजह मिल गई,
हर एक लम्हा खुशनुमा बना दिया,
मेरी उम्मीद को नई मंजिल मिल गई।

Yoon Aaye Zindagi Mein Ki Khushi Mil Gayi,
Mushkil Raahon Mein Chalane Ki Wajah Mil Gayi,
Har Ek Lamha KhushNuma Bana Diya,
Meri Ummeed Ko Nayi Manzil Mil Gayi.

-Advertisement-

Dum Tod Deti Hai Khushi

ना जाने वक्त खफा है या खुदा नाराज है हमसे,
दम तोड़ देती है हर खुशी मेरे घर तक आते-आते।

Na Jaane Waqt Khafa Hai Ya Khuda Naraaj Hai Humse,
Dum Tod Deti Hai Har Khushi Mere Ghar Tak Aate-Aate.

-Advertisement-

Khushiyaan Ka Kaarobaar

Khushiyaan Ka Kaarobaar Shayari

हम तो खुशियाँ उधार देने का
कारोबार करते हैं... साहब
कोई वक़्त पे लौटाता नहीं है
इसलिए घाटे में हैं..!

Hum To Khushiyaan Udhaar Dene Ka
Kaarobaar Karte Hain...Saahab
Koi Waqt Pe Lautata Nahin Hai
Isliye Ghaate Mein Hain..!

Jab Khushi Mili To

जब खुशी मिली तो कई दर्द मुझसे रूठ गए,
दुआ करो कि मैं फिर से उदास हो जाऊं।

Jab Khushi Mili To Kai Dard Mujhse Rooth Gaye,
Duaa Karo Ki Main Phir Se Udaas Ho Jaaun.

-Advertisement-

यह जो हिज्र में

यह जो हिज्र में दीवार-ओ-दर को देखते हैं,
कभी सबा को कभी नामबर को देखते हैं,
वो आये घर में हमारे खुदा की कुदरत है,
कभी हम उनको कभी अपने घर को देखते हैं।