मौत शायरी

Kafan Ki Girah Khol Kar

कफ़न की गिरह खोल कर
मेरा दीदार तो कर लो,
बंद हो गई हैं वो आँखे
जिन से तुम शरमाया करती थी।

Kafan Ki Girah Khol Kar
Mera Deedaar To Kar Lo,
Band Ho Gayin Hain Wo Aankhein
Jin Se Tum Sharmaaya Karti Thi.

-Advertisement-

Mitti Meri Kabr Se

Mitti Meri Kabr Se Shayari

मिट्टी मेरी कब्र से उठा रहा है कोई,
मरने के बाद भी याद आ रहा है कोई,
ऐ खुदा कुछ पल की मोहलत और दे दे,
उदास मेरी कब्र से जा रहा है कोई।

Mitti Meri Kabr Se Uthha Raha Hai Koi,
Marne Ke Baad Bhi Yaad Aa Raha Hai Koi,
Ai Khuda Kuchh Pal Ki Mohlat Aur De De,
Udaas Meri Kabr Se Ja Raha Hai Koi.

-Advertisement-

Aashiq Marte Nahin

आशिक़ मरते नहीं सिर्फ दफनाए जाते हैं,
कब्र खोद कर देखो इंतज़ार में पाए जाते हैं।

Aashiq Marte Nahin Sirf Dafnaaye Jaate Hain,
Kabr Khod Kar Dekho Intezaar Mein Paaye Jaate Hain.

Intezaar Apni Maut Ka

इंतज़ार है हमें तो बस अपनी मौत का,
उनका वादा है कि उस दिन मुलाकात होगी।

Intezaar Hai Humein To Bas Apni Maut Ka,
Unka Vaada Hai Ki Us Din Mulakaat Hogi.

-Advertisement-

Ai Maut Ke Farishte

Ai Maut Ke Farishte Shayari

चैन तो छिन चुका है अब बस जान बाकी है,
अभी मोहब्बत में मेरा इम्तेहान बाकी है,
मिल जाना वक़्त पर पर ऐ मौत के फ़रिश्ते,
किसी को गिला है किसी का फरमान बाकी है।

Chain To Chhin Chuka Hai Ab Bas Jaan Baaki Hai,
Abhi Mohabbat Mein Mera Imtehaan Baaki Hai,
Mil Jaana Waqt Par Par Ai Maut Ke Farishte,
Kisi Ko Gila Hai Kisi Ka Farmaan Baaki Hai.

-Advertisement-

Kafan Sila Rakha Hai

उसकी यादों ने मुझे पागल बना रखा है,
कहीं मर ना जाऊं कफ़न सिला रखा है,
मेरा दिल निकाल लेना दफ़नाने से पहले,
वो ना दब जाए जिसे दिल मे बसा रखा है।

Uski Yaadon Ne Mujhe Paagal Bana Rakha Hai,
Kahin Mar Na Jaoon Kafan Sila Rakha Hai,
Mera Dil Nikaal Lena Dafnaane Se Pehle,
Wo Na Dab Jaye Jise Dil Mein Basa Rakha Hai.

Maut Se Keh Do

Maut Se Keh Do Shayari

अब मौत से कह दो कि नाराज़गी खत्म कर ले,
वो बदल गया है जिसके लिए हम ज़िंदा थे​।

Ab Maut Se Keh Do Ki Naaraazagi Khatm Kar Le,
Wo Badal Gaya Hai Jiske Liye Hum Zinda The​.

-Advertisement-

Humein Maut Na Mili

यूँ तो हादसों में गुजरी है हमारी ज़िंदगी,
हादसा ये भी कम नहीं कि हमें मौत न मिली।

Yoon To Haadson Mein Gujri Hai Humari Zindagi,
Haadsa Ye Bhi Kam Nahin Ki Humein Maut Na Mili.