हिंदी शायरी

Kambakht Humara Dil

Tamaam Logon Ko Apni Apni Manjil Mil Chuki,
Kambakht Humara Dil Hai Ke Ab Bhi Safar Me Hai.

तमाम लोगों को अपनी अपनी मंजिल मिल चुकी,
कमबख्त हमारा दिल है, कि अब भी सफर में है।

-Advertisement-

Raat Guzaari Tadap Kar

Raat Guzaari Tadap Kar Shayari

कहीं किसी रोज़ यूँ भी होता,
हमारी हालत तुम्हारी होती,
जो रात हमने गुज़ारी तड़प कर,
वो रात तुमने गुज़ारी होती।

Kahin Kisi Roz Yoon Bhi Hota,
Humari Haalat Tumhaari Hoti,
Jo Raat Humne Guzaari Tadap Kar,
Wo Raat Tumane Guzaari Hoti.

-Advertisement-

Kahin Aisa Na Ho Jaaye

इरादे बाँधता हूँ, सोचता हूँ, तोड़ देता हूँ,
कहीं ऐसा न हो जाये, कहीं वैसा न हो जाये।

Iraade Baandhta Hoon, Sochta Hoon, Tod Deta Hoon,
Kahin Aisa Na Ho Jaaye, Kahin Waisa Na Ho Jaaye.

Tere Hijr Ke Sahaare

Tere Hijr Ke Sahaare Shayari

मेरी ज़िंदगी तो गुजरी तेरे हिज्र के सहारे,
मेरी मौत को भी कोई बहाना चाहिए।

Meri Zindagi To Gujari Tere Hijr Ke Sahaare,
Meri Maut Ko Bhi Koi Bahaana Chaahiye.

-Advertisement-

Raaste Khud Hi Tabaahi Ke

Raaste Khud Hi Tabaahi Ke Shayari

रास्ते खुद ही तबाही के निकाले हमने,
कर दिया दिल किसी पत्थर के हवाले हमने,
हमें मालूम है क्या चीज़ है मोहब्बत यारो,
घर अपना जला कर किये हैं उजाले हमने।

Raaste Khud Hi Tabaahi Ke Nikaale Humne,
Kar Diya Dil Kisi Patthar Ke Havaale Humne,
Humein Maaloom Hai Kya Cheez Hai Mohabbat Yaaro,
Ghar Apna Jala Kar Kiye Hain Ujaale Humne.

-Advertisement-

Lau Chiragon Ki

Abhi Mehfil Mein Chehre Naadaan Najar Aate Hain,
Lau Chiragon Ki Jara Aur Ghata Di Jaye.

अभी महफ़िल में चेहरे नादान नज़र आते हैं,
लौ चिरागों की जरा और घटा दी जाये।

Uske Hote Chale Gaye

सपनों की दुनिया में हम खोते चले गए,
मदहोश न थे पर मदहोश होते चले गए,
ना जाने क्या बात थी उस चेहरे में,
ना चाहते हुए भी उसके होते चले गए।

Sapnon Ki Duniya Mein Hum Khote Chale Gaye,
Madhosh Na The Par Madhosh Hote Chale Gaye,
Na Jaane Kya Baat Thi Uss Chehre Mein,
Na Chaahte Huye Bhi Uske Hote Chale Gaye.

-Advertisement-

Bheegi Palkein Aur Tanhai

Bheegi Palkein Aur Tanhai Shayari

बिखरे अरमान, भीगी पलकें और ये तन्हाई,
कहूँ कैसे कि मिला मोहब्बत में कुछ भी नहीं।

Bikhare Armaan, Bheegi Palkein Aur Ye Tanhai,
Kahoon Kaise Ki Mila Mohabbat Mein Kuchh Bhi Nahin.