हिंदी शायरी

Deewane Ho Jayein

Ek Baar Kar Ke Aitbaar Likh Do,
Kitna Hai Mujh Se Pyar Likh Do,
KatTi Nahi Yeh Zindagi Ab Tere Bin,
Kitna Aur Karun Intezar Likh Do.

Taras Rahe Hain Badi Muddaton Se Hum,
Apni Mohabbat Ka Izhaar Likh Do,
Deewane Ho Jayein Jise Parh Ke Hum,
Kuchh Aisa Tum Ek Baar Likh Do.

एक बार कर के ऐतबार लिख दो,
कितना है मुझ से प्यार लिख दो,
कटती नहीं ये ज़िन्दगी अब तेरे बिन,
कितना और करूँ इन्तज़ार लिख दो ।

तरस रहे हैं बड़ी मुद्दतों से हम,
अपनी मुहब्बत का इज़हार लिख दो,
दीवाने हो जाएँ जिसे पढ़ के हम,
कुछ ऐसा तुम एक बार लिख दो।

-Advertisement-

Yeh Ishq Jiske Qahar Se

Yeh Ishq Jiske Qahar Se Darta Hai Zamana,
Kambakht Mere Sabr Ke Tukdon Pe Pala Hai.

ये इश्क़ जिसके कहर से डरता है ज़माना,
कमबख्त मेरे सब्र के टुकड़ों पे पला है ।

-Advertisement-

Mohabbat Ka Jaam

Wo Pila Kar Jaam Labon Se Apni Mohabbat Ka,
Ab Kahte Hain Nashe Ki Aadat Achhi Nahi Hoti !

वो पिला कर जाम लबों से अपनी मोहब्बत का,
अब कहते हैं नशे की आदत अच्छी नहीं होती।

Ek Husn Ke Siwa

Na Chahat, Na Mohabbat, Na Ishq Aur Na Wafa,
Kuchh Bhi Toh Nahi Tha Uske Paas Ek Husn Ke Siwa.

न चाहत न मोहब्बत न इश्क़ और न वफ़ा,
कुछ भी तो नहीं था उसके पास इक हुस्न के सिवा।

-Advertisement-

Teri Yaad Ka Aana

Jaruri To Nahi Hai Ke Tujhe Aankhon Se Hi Dekhun,
Teri Yaad Ka Aana Bhi Tere Deedar Se Kam Nahi.

जरूरी तो नहीं है कि तुझे आँखों से ही देखूँ,
तेरी याद का आना भी तेरे दीदार से कम नहीं।

-Advertisement-

Bad-Saluki Na Kar

Itni Bad-Saluki Na Kar Ai Zindagi...
Hum Kaun Se Yahan Baar Baar Aane Wale Hain.

इतनी बदसलूकी ना कर, ऐ जिंदगी
हम कौन सा यहाँ बार बार आने वाले हैं।

Zindagi Tawayaf Ki Tarah

Zindagi Bhi Tawayaf Ki Tarah Hoti Hai,
Kabhi Majboori Mein Nachti Hai Kabhi MashHoori Mein.

जिंदगी भी तवायफ की तरह होती है,
कभी मज़बूरी में नाचती है कभी मशहूरी में ।

-Advertisement-

Taare Bhi Chhup Gaye

Taare Bhi Chhup Gaye Shayari

Subah Ke Phool Khil Gaye,
Panchhi Apne Safar Par Ud Gaye,
Sooraj Aate Hi Taare Bhi Chhup Gaye,
Lo Aap Bhi Meethhi Neend Se Uthh Gaye.
Good Morning...

सुबह के फूल खिल गए,
पंछी अपने सफ़र पर उड़ गये,
सूरज आते ही तारे भी छुप गये,
लो आप भी मीठी नींद से उठ गये।
शुभ प्रभात