हिंदी शायरी

Ek Intezar Hai Saath

Koi Milta Hi Nahi Humse Humara BanKar,
Woh Mile Bhi Toh Ek Kinara BanKar,
Har Khwab Toot Ke Bikhra Kaanch Ki Tarah,
Bas Ek Intezar Hai Saath Sahara BanKar.

कोई मिलता ही नहीं हमसे हमारा बनकर,
वो मिले भी तो एक किनारा बनकर,
हर ख्वाब टूट के बिखरा काँच की तरह,
बस एक इंतज़ार है साथ सहारा बनकर।

-Advertisement-

Har Waqt Aapka Intezar

Aankhein Bhi Palkon Se Sawal Karti Hain,
Har Waqt Aapko Hi Bas Yaad Karti Hain,
Jab Tak Na Kar Lein Deedar Aapka,
Tak Tak Woh Aapka Intezar Karti Hain.

आँखें भी मेरी पलकों से सवाल करती हैं,
हर वक़्त आपको ही बस याद करती हैं,
जब तक ना कर लें दीदार आपका,
तब तक वो आपका इंतज़ार करती हैं।

-Advertisement-

Dost Mile Aap Jaisa Koi

Rishton Se Badi Chahat Aur Kya Hogi,
Dosti Se Badi Ibaadat Aur Kya Hogi,
Jise Dost Mil Sake Koi Aap Jaisa,
Usey Zindagi Se Koi Aur Shikayat Kya Hogi.

रिश्तों से बड़ी चाहत और क्या होगी,
दोस्ती से बड़ी इबादत और क्या होगी,
जिसे दोस्त मिल सके कोई आप जैसा,
उसे ज़िंदगी से कोई और शिकायत क्या होगी।

Agar Dost Kahe

Apni Zindagi Ke Kuchh Alag Hi Usool Hain,
Dosti Ki Khatir Humein Kaante Bhi Qabool Hain,
Hans Kar Chal Denge Kaanch Ke Tukdon Par,
Agar Dost Kahe Yeh Dosti Mein Bichhaye Phool Hain.

अपनी ज़िंदगी के कुछ अलग ही उसूल हैं,
दोस्ती की खातिर हमें काँटे भी क़बूल हैं,
हँस कर चल देंगे काँच के टुकड़ों पर भी,
अगर दोस्त कहे यह दोस्ती में बिछाये फूल हैं।

-Advertisement-

Dosti Khushion Ki Saugat

Dosti Dard Nahi Khushion Ki Saugat Hai,
Kisi Apne Ka Zindgi Bhar Ka Saath Hai,
Yeh To Dilon Ka Wo Khoobsurat Ehsaas Hai,
Jiske Dam Se Roshan Ye Saari Kaaynaat Hai.

दोस्ती दर्द नहीं खुशियों की सौगात है,
किसी अपने का ज़िंदगी भर का साथ है,
ये तो दिलों का वो खूबसूरत एहसास है,
जिसके दम से रोशन ये सारी कायनात है।

-Advertisement-

Manzil Hai Dosti

Zindgi Ke Toofano Ka Sahil Hai Dosti,
Dil Ke Armano Ki Manzil Hai Dosti,
Zindagi Bhi Ban Jayegi Apni To Jannat,
Agar Maut Aane Tak Saath De Dosti.

ज़िंदगी के तूफानों का साहिल है दोस्ती,
दिल के अरमानों की मंज़िल है दोस्ती,
ज़िंदगी भी बन जाएगी अपनी तो जन्नत,
अगर मौत आने तक साथ दे दोस्ती।

Doston Ke Humdard

Honthho Par Ulfat Ke Fasaane Nahi Aate,
Jo Beet Gaye Phir Wo Zamane Nahi Aate,
Dost Hi Hote Hain Doston Ke Humdard,
Koi Farishte Yeha Saath Nibhane Nahi Aate.

होंठों पे उल्फत के फ़साने नहीं आते,
जो बीत गए फिर वो ज़माने नहीं आते,
दोस्त ही होते हैं दोस्तों के हमदर्द,
कोई फ़रिश्ते यहाँ साथ निभाने नहीं आते।

-Advertisement-

Dosti Ke Maamle Me Sachche

DuniyaDari Mein Hum Thode Kachche Hain,
Par Dosti Ke Maamle Me Sachche Hain,
Humari Sachchai Bas Iss Baat Par Kayam Hai,
Ke Humare Dost Humse Bhi Achchhe Hain.

दुनियादारी में हम थोड़े कच्चे हैं,
पर दोस्ती के मामले में सच्चे हैं,
हमारी सच्चाई बस इस बात पर कायम है,
कि हमारे दोस्त हमसे भी अच्छे हैं।