रोमांटिक शायरी

Un Se Mulakaat Hui

Un Se Mulakaat Hui Shayari

चलते चलते राह में उन से मुलाकात हुई,
वो कुछ शरमाई फिर सहम सी गई,
दिल तो हमारा भी किया कि कह दे उनसे
अपने दिल की बात...
पर कम्बखत इस दिल की इतनी हिम्मत ही न हुई.

Chalte Chalte Raah Mein Un Se Mulakaat Hui,
Wo Kuchh Sharmai Phir Sahem Si Gayi,
Dil To Humara Bhi Kiya Ki Keh De Unse
Apne Dil Ki Baat...
Par Kambakht Iss Dil Ki Itni Himmat Hi Na Hui.

-Advertisement-

Bas Ik Nigaah Pe

Bas Ik Nigaah Pe Shayari

Adaa Se Dekh Lo Jata Rahe Gila Dil Ka,
Bas Ik Nigaah Pe Thhehra Hai Faisla Dil Ka.

अदा से देख लो जाता रहे गिला दिल का,
बस इक निगाह पे ठहरा है फ़ैसला दिल का।

-Advertisement-

Yaar Pehloo Mein Hai

Yaar Pehloo Mein Hai Shayari

Yaar Pehloo Mein Hai, Tanhai Hai, Keh Do Nikle.
Aaj Kyun Dil Mein Chhupi Baithhi Hai Hasrat Meri.

यार पहलू में है, तन्हाई है, कह दो निकले,
आज क्यूँ दिल में छुपी बैठी है हसरत मेरी।

Kahin Se Tum Bayaan Karte

Kahin Se Tum Bayaan Karte Shayari

मजा आता अगर गुजरी हुई
बातों का अफसाना,
कहीं से तुम बयाँ करते,
कहीं से हम बयाँ करते।

Maja Aata Agar Gujari Hui
Baaton Ka Afsaana,
Kahin Se Tum Bayaan Karte,
Kahin Se Hum Bayaan Karte.

-Advertisement-

Ye Aalam Shauq Ka

Ye Aalam Shauq Ka Shayari

ये आलम शौक़ का देखा न जाये,
वो बुत है या ख़ुदा देखा न जाये,
ये किन नज़रों से तुम ने आज देखा,
कि तेरा देखना ​देखा ​ना जाये।

Ye Aalam Shauq Ka Dekha Na Jaaye,
Wo But Hai Ya Khuda Dekha Na Jaaye,
Ye Kin Nazaron Se Tum Ne Aaj Dekha,
Ki Tera Dekhna ​Dekha ​Na Jaaye.

-Advertisement-

बहके बहके ही

बहके बहके ही Shayari

बहके बहके ही अंदाज-ए-बयां होते हैं,
आप जब होते हैं तो होश कहाँ होते हैं।

Dil Chahta Hai

Aapse Roj Milne Ko Dil Chahta Hai,
Kuchh SunNe Sunaane Ko Dil Chahta Hai,
Tha Aapke Manaane Ka Andaz Aisa,
Ki Fir Roothh Jaane Ko Dil Chahta Hai.

​आपसे रोज़ मिलने को दिल चाहता है​​,​
​कुछ सुनने सुनाने को दिल चाहता है​​,​
​था आपके मनाने का अंदाज़ ऐसा​​,​
​कि फिर रूठ जाने को दिल चाहता है​।

-Advertisement-

Tumhari Zulfon Ke Saaye

Tumhari Zulfon Ke Saaye Shayari

Tumhari Zulfon Ke Saaye Mein Shaam Kar Lunga,
Safar Iss Umr Ka Pal Mein Tamaam Kar Lunga.

तुम्हारी ज़ुल्फ़ों के साये में शाम कर लूंगा,
सफर इस उम्र का पल में तमाम कर लूंगा।