Search Results for : प्रीत

Tum Khoyi-Khoyi Rehti Ho

Tum Kyun Aise Khoye-Khoye Se Rahete Ho?
Tum Kyun Aise GumSum Se Raheti Ho?
Kaun Sa Gham Hai Tumhe Jo Sabse Chhipate Ho?
Kisliye Har Baat Par Apna Jee Jalate Ho?
Kyun Aaj Tak Tumne Kisi Ko Apna Banaya Nahi?
Kyun Tumhe Kisi Ne Hasna Sikhaya Nahi?

तुम क्यों ऐसे खोये खोये रहते हो,
तुम क्यों ऐसे गुमसुम से रहते हो,
कौन सा ग़म है तुम्हें जो सबसे छिपाते हो,
किसलिए हर बात पर अपना जी जलाते हो,
क्यों आज तक तुमने किसी को अपना बनाया नहीं,
क्यों तुम्हें किसी ने हँसना सिखाया नहीं।

Jisne Bhi Sikhaya

Daad Dete Hain Tumhare Najar-Andaaz Karne Ke Hunar Ko,
Jisne Bhi Sikhaya Hai Woh Ustaad Kamaal Ka Hoga.

दाद देते हैं तुम्हारे नजर-अंदाज करने के हुनर को
जिसने भी सिखाया वो उस्ताद कमाल का होगा।

Log Khafa Hain

Daudti Bhagti Duniya Ka Bas Yahi Ek Tohfa Hai...
Khoob Lutate Rahe Apnapan Phir Bhi Log Khafa Hain.

दौड़ती भागती दुनिया का यही तोहफा है,
खूब लुटाते रहे अपनापन फिर भी लोग खफ़ा हैं।

Garmi Ke Din Shayari

Aaj Ambar Mein Baadal Chaaye Hain,
Barish Ke Kuchh Aasaar Lag Rahe Hain,
Ho Jaye Toh Achha Hai Varna...
Pankhe Coolar Sab Bekaar Lag Rahe Hain,

Paseene Se Tar Kapade Aur Ye Machchar,
Uspe Light Ke Cut Baar-Baar Lag Rahe Hai,
Kitne Achche The Woh Sardi Ke Din Bhi,
Ye Din Sachmuch Kitne Bekaar Lag Rahe Hain.

आज अम्बर में बादल छाए है,
बारिश के कुछ आसार लग रहे हैं,
हो जाए तो बहुत अच्छा है,
वरना...
पंखे कूलर भी अब अंगार लग रहे हैं,
पसीने से तर कपडे और यह मच्छर,
उसपे लाइट के कट बार बार लग रहे हैं,
कितने अच्छे होते हैं वो सर्दी के दिन,
यह दिन सचमुच कितने बेकार लग रहे हैं।

Log Badal Jate Hain Aksar

Mujhe Bhi Pata Tha Ki
Log Badal Jate Hain Aksar,
Magar Maine Kabhi Tumhein Logon Mein
Gina Bhi To Nahi Tha.

मुझे भी पता था कि
लोग बदल जाते हैं अक्सर,
मगर मैंने कभी तुम्हें लोगों में
गिना भी तो नहीं था।