शराब शायरी

Read Best Sharab Shayari in Hindi, Nasha Shayari and Daru Status.

शराब की तोहमत

शराब की तोहमत Shayari

साक़ी मुझे शराब की तोहमत नहीं पसंद,
मुझ को तेरी निगाह का इल्जाम चाहिए।

Saaki Mujhe Sharaab Ki Tohmat Nahi Pasand,
Mujh Ko Teri Nigaah Ka ilzaam Chahiye.

-Advertisement-

Chale Hum Maikhaane Mein

Mohabbat Bikti Hai Yahan Ishq Neelaam Hota Hai,
Bharose Ka Qtal Yahan Par Khule Aam Hota Hai,
Zamane Se Mili Thokar To Chale Hum Maikhaane Mein,
Ab Wahi Zamana Humein Sharabi Naam Deta Hai.

मोहब्बत बिकती है यहाँ इश्क़ नीलाम होता है,
भरोसे का क़त्ल यहाँ पर खुले आम होता है,
ज़माने से मिली ठोकर तो चले हम मैखाने में,
अब वही ज़माना हमें शराबी नाम देता है।

-Advertisement-

Jitni Tumhare Jaam Mein

Jitni Tumhare Jaam Mein Shayari

Yoon Na Karo Hum Se Peene-Pilane Ki Baatein,
Wo Bhi Kya Din The Jab Hum Piya Karte The,
Jitni Tumhare Jaam Mein Hoti Hai Sharab,
Utni Hum Paimaane Mein Chhod Diya Karte The.

यूँ न करो हम से पीने-पिलाने की बातें,
वो भी क्या दिन थे जब हम पिया करते थे,
जितनी तुम्हारे जाम में होती है शराब,
उतनी हम पैमाने में छोड़ दिया करते थे।

Main Sharabi Na Hota

अगर ग़म मोहब्बत पे हाबी न होता,
खुदा की कसम मैं शराबी न होता।

Agar Gham Mohabbat Pe Haavi Na Hota,
Khuda Ki Kasam Main Sharabi Na Hota.

-Advertisement-

Mausam Bhi Hai Sharaab Bhi

Mausam Bhi Hai, Umr Bhi, Sharaab Bhi Hai,
Pehloo Mein Wo Rashk-e-Mahtaab Bhi Hai,
Duniya Mein Ab Aur Chaahiye Kya Mujhko,
Saaqi Bhi Hai, Saaz Bhi Hai, Sharaab Bhi Hai.

मौसम भी है, उम्र भी, शराब भी है,
पहलू में वो रश्के-माहताब भी है,
दुनिया में अब और चाहिए क्या मुझको,
साक़ी भी है, साज़ भी है, शराब भी है।

-Advertisement-

Haathon Se Pila De Saaqiya

Haathon Se Pila De Saaqiya Shayari

मौका मिला है कुछ तो ख़ुलूस दिखा दे साक़िया,
क्या पता... कल तेरी महफ़िल में हम हों कि न हों,
उठा के जाम अपने हाथों से पिला दे साक़िया,
क्या पता... कल तेरी महफ़िल में हम हों कि न हों।

Mauka Mila Hai Kuchh To Khuloos Dikha De Saaqiya,
Kya Pata... Kal Teri Mehfil Mein Hum Hon Ki Na Hon,
Utha Ke Jaam Apane Haathon Se Pila De Saaqiya,
Kya Pata... Kal Teri Mehfil Mein Hum Hon Ki Na Hon.

Zarf Rindon Ka

खरीदा जा नहीं सकता है साक़ी ज़र्फ़ रिंदों का,
बहुत शीशे पिघलते हैं तो एक पैमाना बनता है।

Khareeda Ja Nahin Sakta Hai Saaqi Zarf Rindon Ka,
Bahut Sheeshe Pighalte Hain To Ek Paimaana Banta Hai.

-Advertisement-

Jaam Honthhon Se

Kabhi Dekhenge Ai Jaam
Tujhe Honthhon Se LagaKar,
Tu Mujhme Utarta Hai
Ke Main Tujhme Utarta Hun.

कभी देखेंगे ऐ जाम
तुझे होठों से लगाकर,
तू मुझमें उतरता है
कि मैं तुझमें उतरता हूँ।