तन्हाई शायरी

Raaton Ko Jagte Rahe

Raaton Ko Jagte Rahe Shayari

तुम क्या गए कि वक़्त का अहसास मर गया,
रातों को जागते रहे और दिन को सो गए।

Tum Kya Gaye Ki Waqt Ka Ehsaas Mar Gaya,
Raaton Ko Jagte Rahe Aur Din Ko So Gaye.

-Advertisement-

Apna Ho Par Paas Na Ho

कितना अधूरा सा लगता है
जब बादल हो बारिश न हो,
आँखें हो कोई ख्वाब न हो
और अपना हो पर पास न हो।

Kitna Adhoora Sa Lagta Hai
Jab Baadal Ho Baarish Na Ho,
Aankhein Ho Koi Khwaab Na Ho
Aur Apna Ho Par Paas Na Ho.

-Advertisement-

Kaanto Si Chubhti Hai Tanhaai

Kaanto Si Chubhti Hai Tanhaai Shayari

कांटो सी दिल में चुभती है तन्हाई,
अंगारों सी सुलगती है तन्हाई,
कोई आ कर हमको जरा हँसा दे,
मैं रोता हूँ तो रोने लगती है तन्हाई।

Kaanto Si Dil Mein Chubhti Hai Tanhaai,
Angaaron Si Sulagti Hai Tanhaai,
Koi Aa Kar Humko Jara Hansa De,
Main Rota Hoon To Rone Lagti Hai Tanhaai.

Tanhai Mein Khalal

अपनी तन्हाई में खलल यूँ डालूँ सारी रात...
खुद ही दर पे दस्तक दूँ और खुद ही पूछूं कौन?

Apni Tanhai Mein Khalal Yoon Daaloon Saari Raat...
Khud Hi Dar Pe Dastak Doon Aur Khud Hi Poochhoon Kaun?

-Advertisement-

Usey Tanhai Maar Daalegi

Kisi Ko Pyar Ki Sachchai Maar Daalegi,
Kisi Ko Dard Ki Gehraai Maar Daalegi,
Mohabbat Mein Bichhad Ke Koi Jee Nahi Sakta,
Aur Bach Gaya To Usey Tanhai Maar Daalegi.

किसी को प्यार की सच्चाई मार डालेगी,
किसी को दर्द की गहराई मार डालेगी,
मोहब्बत में बिछड़ के कोई जी नहीं सकता,
और बच गया तो उसे तन्हाई मार डालेगी।

-Advertisement-

Tanhaiyon Ka Manzar

Chandni BanKe Barasne Lagti Hain
Teri Yaadein Mujh Par,
Badaa Hi DilKash Meri
Tanhaiyon Ka Manzar Hota Hai.

चाँदनी बन के बरसने लगती हैं
तेरी यादें मुझ पर,
बड़ा ही दिलकश मेरी
तनहाइयों का मंज़र होता है।

Mil Jaayein Bichhad Kar

Mil Jaayein Bichhad Kar Shayari

Ye Shaam Bahut Tanha Hai Milne Ki Bhi Talab Hai,
Par Dil Ki Sadaaon Mein Woh Taqat Hi Kahan Hai,
Koshish Toh Bahut Ki Aur Bharosa Bhi Bahut Tha,
Mil Jaayein Bichhad Kar Wo Kismat Hi Kahan Hai.

ये शाम बहुत तनहा है मिलने की भी तलब है,
पर दिल की सदाओं में वो ताकत ही कहाँ है,
कोशिश भी बहुत की और भरोसा भी बहुत था,
मिल जायें बिछड़ कर वो किस्मत की कहाँ है।

-Advertisement-

Chheen Lee Hai Meri Tanhai

लोगों ने छीन ली है मेरी तन्हाई तक,
इश्क आ पहुँचा है इलज़ाम से रुसवाई तक।

Logon Ne Chheen Lee Hai Meri Tanhai Tak,
Ishq Aa Pahuncha Hai Ilzaam Se Ruswaai Tak.