Zafar Iqbal Shayari

शायरी बेवफाई करके निकलूँ

शायरी बेवफाई करके निकलूँ Shayari

बेवफाई करके निकलूँ तो वफ़ा कर जाऊंगा,
शहर को हर ज़ायके से आशना कर जाऊंगा,
तो भी ढूढ़ेगा मुझे शौक-ए-सजा में इक दिन,
मैं भी कोई खूबसूरत सी खता कर जाऊंगा।

Bewafai Karke Niklun To Wafa Kar Jaunga,
Shahar Ko Har Zayke Se Aashna Kar Jaunga,
Tu Bhi Dhoondega Mujhe Shauq-e-Saza Mein Ek Din,
Main Bhi Koi Khoobsurat Si Khata Kar Jaunga.

-Advertisement-

कब वो ज़ाहिर होगा

कब वो ज़ाहिर होगा और हैरान कर देगा मुझे,
जितनी भी मुश्किल में हूँ आसान कर देगा मुझे,
रूबरू करके कभी अपने महकते सुर्ख होंठ,
एक दो पल के लिए गुलदान कर देगा मुझे।

Kab Wo Zahir Hoga Aur Hairan Kar Dega Mujhe,
Jitni Bhi Mushkil Mein Hoonn Aasaan Kar Dega Mujhe,
Rubroo Karke Kabhi Apne Mahekte Surkh Honthh,
Ek Do Pal Ke Liye Guldaan Kar Dega Mujhe.

-Advertisement-