Two Line Faiz Shayari in Hindi

दिल में अब यूँ तेरे भूले हुये ग़म आते हैं,
जैसे बिछड़े हुये काबे में सनम आते हैं।

Dil Mein Ab Yoon Tere Bhoole Huye Gham Aate Hain,
Jaise Bichhade Huye Kaabe Mein Sanam Aate Hain.

तुम्हारी याद के जब ज़ख़्म भरने लगते हैं,
किसी बहाने तुम्हें याद करने लगते हैं।

Tumhari Yaad Ke Jab Zakhm Bharne Lagte Hain,
Kisi Bahaane Phir Tumhein Yaad Karne Lagte Hain.

ये आरज़ू भी बड़ी चीज़ है मगर हमदम,
विसाल-ए-यार फ़क़त आरज़ू की बात नहीं।

Ye Aarzoo Bhi Badi Cheej Hai Magar HumDum,
Visaal-e-Yaar Faqat Aarzoo Ki Baat Nahi.

दिल से हर मामला कर के चले थे साफ़ हम,
कहने में उनके सामने बात बदल गयी।

Dil Se Har Muaamla Kar Ke Chale The Saaf Hum,
Kahne Mein Unke Saamne Baat Badal Gayi.

दिल ना-उमीद तो नहीं नाकाम ही तो है;
लम्बी है ग़म की शाम मगर शाम ही तो है।

Dil Na-Umeed Toh Nahi Nakaam Hi Toh Hai,
Lambi Hai Gham Ki Shaam Magar Shaam Hi Toh Hai.

आए तो यूँ कि जैसे हमेशा थे मेहरबान,
भूले तो यूँ कि गोया कभी आश्ना न थे।

Aaye Toh Yoon Ke Jaise Hamesha The Meharbaan,
Bhoole Toh Yoon Ke Goya Kabhi Aashna Na The.

-Advertisement-
-Advertisement-