Jaleel Manikpuri Shayari

तुम मेरे दिल में रहो

छुप के रहना है जो सबसे
तो मुश्किल क्या है,
तुम मेरे दिल में रहो
दिल की तमन्ना हो कर।

Chhup Ke Rehna Hai Jo Sab Se
To Mushkil Kya Hai,
Tum Mere Dil Mein Raho
Dil Ki Tamanna Ho Kar.

-Advertisement-

Dil Mein Woh Bheed Hai

दिल में वो भीड़ है कि जरा भी नहीं जगह,
आप आइए मगर कोई अरमाँ निकाल के।

Dil Mein Woh Bheed Hai Ke Jara Bhi Nahi Jagah,
Aap Aaiye Magar Koi Armaan Nikaal Ke.

-Advertisement-

Na Khushi Achchhi Ai Dil

Na Khushi Achchhi Ai Dil Shayari

Na Khushi Achchhi Hai Ai Dil
Na Malaal Achchha Hai,
Yaar Jis Haal Mein Rakhe
Wahi Haal Achchha Hai.

न ख़ुशी अच्छी है ऐ दिल
न मलाल अच्छा है,
यार जिस हाल में रखे
वही हाल अच्छा है।

Mere Ashq Ravaan Chale

आँखों में कौन आ के इलाही निकल गया,
किस की तलाश में मेरे अश्क़ रवां चले।

Aankhon Mein Kaun Aa Ke Ilaahi Nikal Gaya,
Kis Ki Talaash Mein Mere Ashq Ravaan Chale.

-Advertisement-

Unhein Saath Liye Huye

Josh-e-Junoon Mein Lutf-e-Tasawwur Na Puchhiye,
Firte hain Saath Saath Unhein Hum Liye Huye.

जोश-ए-जुनूँ में लुत्फ़-ए-तसव्वुर न पूछिए,
फिरते हैं साथ साथ उन्हें हम लिए हुए।

-Advertisement-

चाल मस्त नजर मस्त

चाल मस्त, नजर मस्त, अदा में मस्ती,
जब वह आते हैं लूटे हुए मैखाने को।

Pahloo Mein Jo Baithhe

Aap Pahloo Mein Jo Baithhe Toh Sambhal Kar Baithhein,
Dil-e-Betaab Ko Aadat Hai Machal Jaane Ki.

आप पहलू में जो बैठें तो संभल कर बैठें,
दिल-ए-बेताब को आदत है मचल जाने की।

-Advertisement-

Tumne Kiya Na Yaad

Barson Hue Na Tumne Kiya Bhool Kar Bhi Yaad,
Vaade Ki Tarah Tum Bhi Faramosh Ho Gaye.

बरसों हुए न तुम ने किया भूल कर भी याद,
वादे की तरह हम भी फ़रामोश हो गए।