Search Results for : अमन सिंह

Gam Pee Jaane Ke Liye

आँसू होते नहीं बहाने के लिए,
ग़म होते हैं पी जाने के लिए,
मत सोचना किसी को पाने के लिए,
वरना जिंदगी कम पड़ जाएगी,
उसको भुलाने के लिए।

Aansoo Hote Nahin Bahane Ke Liye,
Gam Hote Hain Pee Jaane Ke Liye,
Mat Sochna Kisi Ko Paane Ke Liye,
Varna Jindagi Kam Pad Jayegi,
Usko Bhulaane Ke Liye.

Sarhad Tumhein Pukaare

सरहद तुम्हें पुकारे तुम्हें आना ही होगा,
कर्ज अपनी मिट्टी का चुकाना ही होगा,
दे करके कुर्बानी अपने जिस्मो-जां की,
तुम्हे मिटना भी होगा मिटाना भी होगा।

Sarhad Tumhein Pukaare Tumhein Aana Hi Hoga,
Karz Apni Mitti Ka Chukaana Hi Hoga,
De Karke Qurbani Apne Jismo-Jaan Ki,
Tumhein Mitna Bhi Hoga Mitaana Bhi Hoga.

Sarhad Tumhein Pukaare शायरी

Ghai Ki Baahon Mein

Nafrat Ko Mohabbat Ki Aankhon Mein Dekha,
Berukhi Ko Unki Adaaon Mein Dekha,
Aankhein Nam Huin Aur Main Ro Pada,
Jab Apne Ko Ghairon Ki Baahon Mein Dekha.

नफरत को मोहब्बत की आँखों में देखा,
बेरुखी को उनकी अदाओं में देखा,
आँखें नम हुईं और मैं रो पड़ा...
जब अपने को गैरों की बाहों में देखा।

Main Kaajal Ban Jaaun

तेरी नीली आँखों का मैं काजल बन जाऊं,
तेरी आँखों में आँसू का मैं बादल बन जाऊं,
ख्वाहिश तो मेरी हर पल है इतनी,
तेरे रस्ते के काँटों का मैं चादर बन जाऊं।

Teri Neeli Aankhon Ka Main Kaajal Ban Jaaun,
Teri Aankhon Mein Aansoo Ka Main Baadal Ban Jaoon,
Khwaahish To Meri Har Pal Hai Itni,
Tere Raste Ke Kaanton Ka Main Chaadar Ban Jaoon.

Main Kaajal Ban Jaaun शायरी