Search Results for : आज़म

सिखा दी बेरुखी भी

सिखा दी बेरुखी भी
तुम्हें ज़ालिम ज़माने ने,
कि तुम जो सीख लेते हो
हम पर आजमाते हो।

Sikha Di Berukhi Bhi
Tumhein Zalim Zamane Ne,
Ki Tum Jo Seekh Lete Ho
Hum Par Aajamate Ho.

Hadd Se Gujar Gaye

Tum Bas Uljhe Rah Gaye Humein Aajmaane Mein,
Aur Hum Hadd Se Gujar Gaye Tumhein Chahne Mein.

तुम बस उलझे रह गए हमें आजमाने में,
और हम हद से गुजर गए तुम्हें चाहने में।

Ishq Ki Kismat Bhi

इसमें इश्क़ की किस्मत भी बदल सकती थी,
जो वक़्त बीत गया मुझको आजमाने में।

Iss Mein Ishq Ki Kismat Bhi Badal Sakti Thi,
Jo Waqt Beet Gaya Mujhko Aajmaane Mein.

Ishq Ki Kismat Bhi शायरी

Khushiyon Ki Daaman Mein

खुशियों की दामन में आँसू गिराकर तो देखिये,
ये रिश्ता कितना सच्चा है आजमा कर तो देखिये,
आपके रूठने से क्या होगी मेरे दिल की हालत,
किसी आइने पर पत्थर गिराकर तो देखिये।

Khushiyon Ki Daaman Mein Aansoo Giraakar To Dekhiye,
Ye Rishta Kitna Sachcha Hai Aajma Kar To Dekhiye,
Aapke Roothhne Se Kya Hogi Mere Dil Ki Haalat,
Kisi Aayine Par Patthar Girakar To Dekhiye.

Dil Lagaane Ki Saza

सजा कैसी मिली मुझको तुमसे दिल लगाने की,
रोना ही पड़ा है जब कोशिश की मुस्कुराने की,
कौन बनेगा यहाँ मेरी दर्द-भरी रातों का हमराज,
दर्द ही मिला जो तुमने कोशिश की आजमाने की।

Saja Kaisi Mili Mujhko Tumse Dil Lagaane Ki,
Rona Hi Pada Hai Jab Koshish Ki Muskuraane Ki,
Kaun Banega Yahaan Meri Dard-Bhari Raaton Ka Humraaj,
Dard Hi Mila Jo Tumne Koshish Ki Aajmaane Ki.