दर्द शायरी

Mehfil Bhi Royegi

Mehfil Bhi Royegi Shayari

Mehfil Bhi Royegi Har Dil Bhi Royega,
Duba Kar Meri Kashti Saahil Bhi Royega,
Itna Pyar Bikher Denge Duniya Mein Hum,
Qatl Kar Ke Humara Qatil Bhi Royega.

महफ़िल भी रोएगी हर दिल भी रोयेगा,
डुबा कर मेरी कश्ती साहिल भी रोयेगा,
इतना प्यार बिखेर देंगे दुनिया में हम,
कत्ल करके हमारा कातिल भी रोयेगा।

-Advertisement-

Roya Bhi Na Gaya

दिल पर ज़ख्म कुछ ऐसे मिले,
फूलों पर भी सोया न गया,
दिल तो जलकर राख हो गया,
और आँखों से रोया भी न गया।

Dil Par Zakhm Kuchh Aise Mile,
Phoolon Par Bhi Soya Na Gaya,
Dil To Jalkar Raakh Ho Gaya,
Aur Aankhon Se Roya Bhi Na Gaya.

-Advertisement-

Khamosh Fiza Thi

Khamosh Fiza Thi Shayari

Khamosh Fiza Thi Koi Saaya Na Tha,
Iss Shahar Mein MujhSa Koi Aaya Na Tha,
Kisi Zulm Ne Chheen Li HumSe Humari Mohabbat,
Humne Toh Kisi Ka Dil Dukhaya Na Tha.

खामोश फ़िज़ा थी कोई साया न था,
इस शहर में मुझसा कोई आया न था,
किसी ज़ुल्म ने छीन ली हम से हमारी मोहब्बत,
हमने तो किसी का दिल दुखाया न था।

Mere Dard Ki Kahani

Agar Main Likhun Toh Poori Kitaab Likh Dun,
Tere Diye Har Dard Ka Hisaab Likh Dun,
Darte Hain Kahin Tu BadNaam Na Ho Jaye,
Varna Tere Har Dard Ki Kahani...
Mera Har Khwab Likh Dun.

अगर मैं लिखूं तो पूरी किताब लिख दूँ,
तेरे दिए हर दर्द का हिसाब लिख दूँ,
डरती हूँ कहीं तू बदनाम ना हो जाए,
वरना तेरे हर दर्द की कहानी मेरा हर ख्वाब लिख दूँ।

~ शिवी

-Advertisement-

Mere Dard-e-Dil Ki Chubhan

काश उनको पता होता मेरे दर्दे दिल की चुभन,
तो वो हमको बार-बार न सताया करते,
जिस बात से हम उनसे रोज खफा होते हैं
तो वो बात हमसे न बताया करते,
ये बात भी ऐसी है जोकि कोई बात नहीं,
किसी गैर का नाम लेकर हमको न तड़पाया करतेl

Kaash Unko Pata Hota Mere Dard-e-Dil Ki Chubhan,
To Wo Humko Baar-Baar Na Sataaya Karte,
Jis Baat Se Hum Unse Roj Khafa Hote Hain,
To Wo Baat Humse Na Bataaya Karte,
Ye Baat Bhi Aisi Hai Jo Ki Koi Baat Nahin,
Kisi Gair Ka Naam Lekar Humko Na Tadpaya Karte.

-Advertisement-

Dard Mein Bhi Muskuraana

टूटे हुए सपने को सजाना आता है,
रूठे हुए दिल को मनाना आता है,
उसे कह दो हमारे जख्म की फ़िक्र न करे,
हमें दर्द में भी मुस्कुराना आता है।

Toote Hue Sapne Ko Sajaana Aata Hai,
Roothhe Huye Dil Ko Manaana Aata Hai,
Use Keh Do Humare Zakhm Ki Fikr Na Kare,
Humein Dard Mein Bhi Muskuraana Aata Hai.

Humare Dard Ki Daastaan

जो एक ज़रा सी बात पर रूठ गए हमसे,
वो हमारे दर्द की दास्तान क्या सुनते।

Jo Ek Jara Si Baat Par Rooth Gaye Humse,
Wo Humare Dard Ki Daastaan Kya Sunte.

-Advertisement-

Dard Jab Hadd Se

Jab Kisi Ka Dard Hadd Se Gujar Jata Hai,
To Samandar Ka Pani Aankhon Mein Utar Aata Hai,
Koi Bana Leta Hai Ret Se Aashiyana To,
Kisi Ka Lahron Mein Sab Kuchh Bikhar Jata Hai.

जब किसी का दर्द हद से गुजर जाता है
तो समंदर का पानी आँखों में उतर आता है,
कोई बना लेता है रेत से आशियाना तो,
किसी का लहरों में सबकुछ बिखर जाता है।