Garibi Shayari in Hindi
Meri Mufalisi Se Bachkar...
मेरी मुफलिसी से बचकर कहीं और जाने वाले,
ये सुकून न मिल सकेगा तुझे रेशमी कफन में।
Meri Mufalisi Se Bachkar Kahin Aur Jaane Wale,
Ye Sukoon Na Mil Sakega Tujhe Reshami Kafan Mein.
Ek Raat Jab Khaali Haath...
जो मौत से न डरता था,
बच्चों से डर गया,
एक रात जब खाली हाथ
मजदूर घर गया।
Jo Maut Se Na Darta Tha,
Bachchon Se Dar Gaya,
Ek Raat Jab Khaali Haath
Majdoor Ghar Gaya.
Tehzeeb Ki Misaal...
तहजीब की मिसाल गरीबों के घर पे है,
दुपट्टा फटा हुआ है मगर उनके सर पे है।
Tehzeeb Ki Misaal Gareebon Ke Ghar Pe Hai,
Dupatta Fata Hua Hai Magar Sar Pe Hai.
Garibon Ko Garib Kar Diya...
ऐ सियासत... तूने भी इस दौर में कमाल कर दिया,
गरीबों को गरीब अमीरों को माला-माल कर दिया।
Ai Siyasat... Tu Ne Bhi Is Daur Mein Kamaal Kar Diya,
Garibon Ko Garib Amiron Ko Maala-Maal Kar Diya.
Gareebi Ban Gayi...
गरीबी बन गई तश्हीर का सबब आमिर,
जिसे भी देखो हमारी मिसाल देता है।
Gareebi Ban Gayi TashHeer Ka Sabab Aamir,
Jise Bhi Dekho Hamaari Misaal Deta Hai.