Mausam Shayari in Hindi
Kambakht Farbary...
कितने दिलों को तोड़ती है ये कमबख्त फरवरी,
यूं ही नहीं इसके, दिन घटाए हैं।
Kitne Dilon Ko Todati Hai Ye Kambakht Farbary,
Yoon Hi Nahi Iske Din Ghataye Hain.
Thhehro Ki Barish Hai...
जरा ठहरो कि बारिश है...
ये थम जाये तो चले जाना,
किसी का तुमको छू जाना
मुझे अच्छा नहीं लगता।
Jara Thhehro Ki Barish Hai...
Ye Tham Jaaye To Chale Jana,
Kisi Ka Tumko Chhoo Jana
Mujhe Achchha Nahi Lagta.
Kaun Se Mausam Se...
अब कौन से मौसम से हम आस लगायें,
बरसात में भी याद न जब उनको हम आये।
Ab Kaun Se Mausam Se Hum Aas Lagaayein,
Barsaat Mein Bhi Yaad Na Jab Unko Hum Aaye.
Aakhir Kaun Sa Mausam...
उसे इस बार वफ़ाओं से गुज़र जाने की जल्दी थी,
मगर अबके मुझे अपने घर जाने की जल्दी थी,
मैं आखिर कौन सा मौसम तुम्हारे नाम कर देता,
यहाँ हर एक मौसम को गुज़र जाने की जल्दी थी।
Usey Iss Baar Wafaon Se Guzar Jaane Ki Jaldi Thi,
Magar Ab Ke Mujhe Apne Ghar Jaane Ki Jaldi Thi,
Main Aakhir Kaun Sa Mausam Tumhare Naam Kar Deta,
Yahaan Har Ek Mausam Ko Guzar Jaane Ki Jaldi Thi.
Kaale Syaah Baadal Ne...
Tapish Aur Barh Gayi Inn Chand Boondo Ke Baad,
Kaale Syaah Baadal Ne Bhi Yun Hi Behlaya Mujhe.
तपिश और बढ़ गई इन चंद बूंदों के बाद,
काले स्याह बादल ने भी बस यूँ ही बहलाया मुझे।