नफरत शायरी
Read Hate Shayari in Hindi
Nafrat Thi Mujhse To...
नफरत थी मुझसे तो इज़हार क्यों किया,
देना था ज़हर मुझको तो प्यार क्यों किया,
ज़हर दे के कहते हो पीना ही होगा,
पी गया तो कहते हो अब जीना ही होगा।
Nafrat Thi Mujhse To Izhaar Kyon Kiya,
Dena Tha Zaher Mujhko To Pyaar Kyon Kiya,
Zaher De Ke Kehte Ho Peena Hi Hoga,
Pee Gaya To Kehte Ho Ab Jeena Hi Hoga.
Humse Nafrat Karte Hain...
Wo Jo Humse Nafrat Karte Hain,
Hum To Aaj Bhi Sirf Unn Par Marte Hain,
Nafrat Hai To Kya Hua Yaaron,
Kuchh To Hai Jo Wo Sirf Humse Karte Hain.
वो जो हमसे नफरत करते हैं,
हम तो आज भी सिर्फ़ उन पर मरते हैं,
नफरत है तो क्या हुआ यारों,
कुछ तो है जो वो सिर्फ हमसे करते हैं।
(अनिल कुमार साहू)
Yoon Nafrat Nahin Hoti...
दिलों में गर पली बेजा कोई हसरत नहीं होती,
हम इंसानों को इंसानों से यूँ नफरत नहीं होती।
Dilon Mein Gar Pali Beja Koi Hasrat Nahin Hoti,
Hum Insaanon Ko Insaanon Se Yoon Nafrat Nahin Hoti.
Karte Ho Itni Nafarat...
Chala Jaunga Main Dhundh Ke Badal Ki Tarah,
Dekhte Rah Jaoge Mujhe Pagal Ki Tarah,
Jab Karte Ho Mujhe Itni Nafrat Toh Kyun?
Sajaate Ho Aankhon Mein Mujhe Kajal Ki Tarah.
चला जाऊँगा मैं धुंध के बादल की तरह,
देखते रह जाओगे मुझे पागल की तरह,
जब करते हो मुझसे इतनी नफरत तो क्यों,
सजाते हो आँखो में मुझे काजल की तरह।
Kuchh Iss Adaa Se...
कुछ इस अदा से निभाना है
किरदार मेरा मुझको,
जिन्हें मुहब्बत न हो मुझसे
वो नफरत भी न कर सके।
Kuchh Iss Adaa Se Nibhaana Hai
Kiradaar Mera Mujhko,
Jinhein Mohabbat Na Ho Mujhse
Wo Nafrat Bhi Na Kar Sake.