Qateel Shifai Shayari
Meri Mufalisi Se Bachkar...
मेरी मुफलिसी से बचकर कहीं और जाने वाले,
ये सुकून न मिल सकेगा तुझे रेशमी कफन में।
Meri Mufalisi Se Bachkar Kahin Aur Jaane Wale,
Ye Sukoon Na Mil Sakega Tujhe Reshami Kafan Mein.
Jo Tu Hai Pyar Ka Baadal...
Jo Tu Hai Pyar Ka Baadal To Baar-Baar Baras,
Na Bheeg Paaunga Main Tere Ek Najaare Se.
जो तू है प्यार का बादल तो बार-बार बरस,
न भीग पाउँगा मैं तेरे एक नज़ारे से।
Yoon Tasalli De Rahe Hain...
यूँ तसल्ली दे रहे हैं हम दिल-ए-बीमार को,
जिस तरह थामे कोई गिरती हुई दीवार को।
Yoon Tasalli De Rahe Hain Hum Dil-e-Beemar Ko,
Jis Tarah Thaame Koi Girti Hui Deewar Ko.
Paanv Mein Zanjeeren...
हो न हो ये कोई सच बोलने वाला है क़तील,
जिसके हाथों में कलम, पाँव में जंजीरें हैं।
Ho Na Ho Ye Koi Sach Bolne Wala Hai Qateel,
Jiske Haathon Mein Kalam, Paanv Mein Zanjeeren Hain.
Usne Sataya Bhi Nahin...
Pyaas Dil Ki Bujhane Wo Kabhi Aaya Bhi Nahin,
Kaisa Baadal Hai Jiska Koi Saaya Bhi Nahin,
Berukhi Iss Se Badi Aur Bhala Kya Hogi,
Ek Muddat Se Humein Usne Sataya Bhi Nahin.
प्यास दिल की बुझाने वो कभी आया भी नहीं,
कैसा बादल है जिसका कोई साया भी नहीं,
बेरुखी इससे बड़ी और भला क्या होगी,
एक मुद्दत से हमें उसने सताया भी नहीं।