- Home
- Hindi Urdu Ghazal
- Meri Ye Zid Nahi
Meri Ye Zid Nahi
मेरी ये जिद नहीं मेरे गले का हार हो जाओ,
अकेला छोड़ देना तुम जहाँ बेज़ार हो जाओ।
Mujhe Ye Zid Nahi, Mere Gale Ka Haar Ho Jaao,
Akela Chhod Dena Tum Jahan Bezaar Ho Jaao.
बहुत जल्दी समझ में आने लगते हो ज़माने को,
बहुत आसान हो थोड़े बहुत दुश्वार हो जाओ।
Bahut Jaldi Samajh Mein Aane Lagte Ho Zamane Ko,
Bahut Aasan Ho Thode-Bahut Dushwaar Ho Jaao.
मुलाकातों में वफ़ा होना ऐसे भी जरूरी है,
कि तुम एक दिन जुदाई के लिए तैयार हो जाओ।
Mulakaaton Mein Wafa Hona Aise Bhi Jaroori Hai,
Ki Tum Ek Din Judaai Ke Liye Taiyar Ho Jaao.
मैं चिलचिलाती धूप के सहरा से आया हूँ,
तुम बस ऐसा करो साया-ए-दीवार हो जाओ।
Main Chilchilti Dhoop Ke Sehra Se Aaya Hoon,
Tum Bas Aisa Karo Saya-e-Deewar Ho Jaao.
तुम्हारे पास देने के लिए झूठी तसल्ली हो,
न आये ऐसा दिन तुम इस कदर नादार हो जाओ।
Tumhaare Pass Dene Ke Liye Jhoothhi Tasalli Ho,
Na Aaye Aisa Din Tum Iss Qadar Nadaar Ho Jaao.
तुम्हें मालूम हो जायेगा कि कैसे रंज सहते हैं,
मेरी इतनी दुआ है कि तुम फनकार हो जाओ।
Tumhein Maloom Ho Jayega Ke Kaise Ranj Sehte Hain,
Meri Itni Duaa Hai Ke Kaash Tum Fankaar Ho Jaao.