Andaaz Kuchh Alag Hi Hai

अंदाज़ कुछ अलग ही मेरे सोचने का है,
सब को मंजिलों का है शौक मुझे रास्ते का है।
Andaaz Kuchh Alag Hi Mere Sochne Ka Hai,
Sab Ko Manzilon Ka Hai Shauk Mujhe Raaste Ka Hai.

हजार ग़म मेरी फितरत को न बदल सके,
क्या करूँ मुझे आदत है मुस्कराने की।
Hajaar Gam Meri Fitrat Ko Na Badal Sake,
Kya Karoon Mujhe Aadat Hai Muskurane Ki.

मिल जाए आसानी से उसकी ख्वाहिश किसे है,
जिद तो उसकी है जो मुक़द्दर में नहीं है।
Mil Jaaye Aasaani Se Uski Khwahish Kise Hai,
Zid To Uski Hai Jo Muqaddar Mein Nahi Hai.

-Advertisement-
-Advertisement-