माँ शायरी

Maa Ki God Mein

नादान हो जो उम्र गँवाते हो
वफा की तलाश में,
गर जो आए समझ तो
माँ की गोद में जाकर देखो।

Nadaan Ho Jo Umr Ganvaate Ho
Wafa Ki Talaash Mein,
Gar Jo Aaye Samajh To
Maa Ki God Mein Jaakar Dekho.

-Advertisement-

Maa Ke Kadmon Mein Jannat

माँ की अजमत से अच्छा जाम क्या होगा,
माँ की खिदमत से अच्छा काम क्या होगा,
खुदा ने रख दी हो जिस के कदमों में जन्नत,
सोचो उसके सर का मुकाम क्या होगा।

Maa Ki Azamat Se Achchha Jaam Kya Hoga,
Maa Ki Khidmat Se Achchha Kaam Kya Hoga,
Khuda Ne Rakh Di Ho Jis Ke Kadmon Mein Jannat,
Socho Uske Sar Ka Mukaam Kya Hoga.

-Advertisement-

Ye Ghar Jaisi Rotiyaan

ना जाने माँ क्या मिलाया करती हैं आटे मे,
ये घर जैसी रोटियाँ और कहीं मिलती नहीं।

Na Jaane Maa Kya Milaaya Karti Hain Aate Mein,
Ye Ghar Jaisi Rotiyaan Aur Kaheen Milti Nahin.

Gire Sookhe Patton Par

Gire Sookhe Patton Par Shayari

नीचे गिरे सूखे पत्तों पर
अदब से चलना ज़रा
कभी कड़ी धूप में तुमने
इनसे ही पनाह माँगी थी।

Neeche Gire Sookhe Patton Par
Adab Se Chalna Zara
Kabhi Kadi Dhoop Mein Tum Ne
Inn Se Hi Panaah Maangi Thi.

-Advertisement-

Maa Bekhbar Nahin Karti

कोई दुआ असर नहीं करती,
जब तक वो हमपर नजर नहीं करती,
हम उसकी खबर रखे न रखे,
वो कभी हमें बेखबर नहीं करती।

Koi Dua Asar Nahin Karti,
Jab Tak Wo Hum Par Najar Nahin Karti,
Hum Uski Khabar Rakhe Na Rakhe,
Wo Kabhi Humein Bekhbar Nahin Karti.

-Advertisement-