- Home
- Maut Shayari
मौत शायरी
Read Best Maut Shayari in Hindi
Khwaab Meri Maut Ka
कल रात भर मुझे हिचकियाँ आती रहीं,
ख्वाब मेरी मौत का उनको भी आया होगा।
Kal Raat Bhar Mujhe Hichkiyaan Aati Rahin,
Khwaab Meri Maut Ka Unko Bhi Aaya Hoga.
Aramaanon Ka Ab Maatam
सुलगती जिंदगी से मौत आ जाये तो बेहतर है,
हमसे दिल के अरमानों का अब मातम नहीं होता।
Sulagti Zindagi Se Maut Aa Jaaye To Behtar Hai,
Humse Dil Ke Aramaanon Ka Ab Maatam Nahin Hota.
Ek Kabr Nayi Hogi
ढूंढोगे कहाँ मुझको, मेरा पता लेते जाओ,
एक कब्र नई होगी एक जलता दिया होगा।
Dhoondhoge Kahaan Mujhko, Mera Pata Lete Jaao,
Ek Kabr Nayi Hogi Ek Jalta Deeya Hoga.
Hum Bhi Kabhi Insaan The
एक दिन निकला सैर को मेरे दिल में कुछ अरमान थे,
एक तरफ थी झाड़ियाँ... एक तरफ श्मशान थे,
पैर तले इक हड्डी आई उसके भी यही बयान थे,
चलने वाले संभल कर चलना हम भी कभी इंसान थे।
Ek Din Nikla Sair Ko Mere Dil Mein Kuchh Aramaan The,
Ek Taraf Thi Jhaadiyaan... Ek Taraf Shamshaan The,
Pair Tale Ik Haddi Aai Uske Bhi Yehi Bayaan The,
Chalne Wale Sambhal Kar Chalna Hum Bhi Kabhi Insaan The.
Aasmaan Ke Pare Mukaam
आसमान के परे मुकाम मिल जाए,
खुदा को मेरा ये पैगाम मिल जाए,
थक गयी है धड़कनें अब तो चलते चलते,
ठहरे सांसे तो शायद आराम मिल जाए।
Aasmaan Ke Pare Mukaam Mil Jaye,
Khuda Ko Mera Ye Paigaam Mil Jaye,
Thak Gayi Hai Dhadkanein Ab To Chalte Chalte,
Thhehare Saanse To Shayad Aaraam Mil Jaye.
Maut Ko Badnaam
मौत को तो यूँ ही बदनाम करते हैं लोग,
तकलीफ तो साली ज़िन्दगी देती है!!
Maut Ko To Yoon Hi Badnaam Karte Hain Log,
Takleef To Saali Zindagi Deti Hai!!
Aakhiri Saansein Bachi Hain
चले आओ सनम बस आखिरी साँसें बची हैं कुछ,
तुम्हारी दीद हो जाती तो खुल जातीं मेरे आँखें।
Chale Aao Sanam Bas Aakhiri Saansein Bachi Hain Kuchh,
Tumhaari Deed Ho Jaati To Khul Jaateen Mere Aankhein.
Jahan Se Na Uthha Janaza
Liya Ho Jo Na Aapne Aisa Koi Imtehaan Na Raha,
Insaan Aakhir Mohabbat Mein Insaan Na Raha,
Hai Koi Basti Jahan Se Na Uthha Janaza Diwane Ka,
Aashiq Ki Qurbat Se Mahroom Koi Kabristaan Na Raha.
लिया हो जो न आपने ऐसा कोई इम्तिहान न रहा,
इंसान आखिर मोहब्बत में इंसान न रहा,
है कोई बस्ती जहाँ से न उठा हो जनाज़ा दीवाने का,
आशिक की कुर्बत से महरूम कोई कब्रिस्तान न रहा।