हिंदी शायरी

Kisi Ka Ishq

Kisi Ka Ishq Kisi Ka Khyaal The Hum Bhi,
Gaye Dino Me Bahut Ba-Kamaal The Hum Bhi!

किसी का इश्क़ किसी का ख्याल थे हम भी,
गए दिनों में बहुत बा-कमाल थे हम भी।

-Advertisement-

Kuchh Majboori Kuchh Bewafai.

Raat Ki Gahrayi Aankhon Mein Utar Aayi,
Kuchh Khwaab The Aur Kuchh Meri Tanhai,
Ye Jo Palkon Se Bah Rahe Hain Halke-Halke,
Kuchh Toh Majboori Hai Kuchh Teri Bewafai.

रात की गहराई आँखों में उतर आई,
कुछ ख्वाब थे और कुछ मेरी तन्हाई,
ये जो पलकों से बह रहे हैं हल्के हल्के,
कुछ तो मजबूरी थी कुछ तेरी बेवफाई।

-Advertisement-

Phir Teri Yaad Mein

Phir Palat Rahin Hain Sardiyon Ki Suhaani Raatein,
Phir Teri Yaad Mein Jalne Ke Zamane Aa Gaye.

फिर पलट रही हैं सर्दियों की सुहानी रातें,
फिर तेरी याद में जलने के जमाने आ गए।

Mohabbat Seekh Kar

Seekh Kar Gaya Hai Wo Mohabbat Mujhse,
Jis Se Bhi Karega Be-Misaal Karega.

सीख कर गया है वो मोहब्बत मुझसे,
जिस से भी करेगा बेमिसाल करेगा।

-Advertisement-

Chain-o-Sukoon Ke Dushman

Kyun Mere Chain-o-Sukoon Ke Dushman Ban Gaye,
Duniya Badi Haseen Hai Kisi Aur Se Dil Laga Lete.

क्यों मेरे चैन-ओ-सुकून के दुश्मन बन गए,
दुनिया बड़ी हसीं है किसी और से दिल लगा लेते।

-Advertisement-

Bhooli Hui Yaadein

Jahan Bhooli Hui Yaadein Daaman Thaam Lein Dil Ka,
Wahan Se Ajnabi BanKar Gujar Jana Hi Achha Hai.

जहाँ भूली हुई यादें दामन थाम लें दिल का,
वहां से अजनबी बन कर गुज़र जाना ही अच्छा है।

Faasle Barhe Toh

Faasle Barhe Toh GalatFahmiyan Aur Bhi Barh Gayin,
Phir Usne Woh Bhi Suna Jo Maine Kaha Hi Nahi.

फासले बढ़े तो गलतफहमियां और भी बढ़ गयीं,
फिर उसने वह भी सुना जो मैंने कहा ही नहीं ।

-Advertisement-

Lafz Pyar Ke

Do-Char Lafz Pyar Ke Lekar Hum Kya Karenge,
Deni Hai Toh Wafa Ki Muqammal Kitab De Do.

दो चार लफ्ज़ प्यार के लेकर हम क्या करेंगे,
देनी है तो वफ़ा की मुकम्मल किताब दे दो ।