देशभक्ति शायरी

Darindo Ka Mazhab Nahin Hota

कोई मंदिर कोई मस्जिद और कोई रब नहीं होता,
दरिंदो का अपना कोई मज़हब नहीं होता,
तबाही करने वालों का मज़हब सिर्फ तबाही है,
लहू किसका बहा उन्हें कोई मतलब नहीं होता।

Koi Mandir Koi Masjid Aur Koi Rab Nahin Hota,
Darindo Ka Apna Koi Mazhab Nahin Hota,
Tabaahi Karne Walon Ka Mazhab Sirf Tabaahi Hai,
Lahoo Kiska Baha Unhein Koi Matalab Nahin Hota.

-Advertisement-

Wo Mulk Kabhi Tarakki

जहाँ पक्षपात के फैले जाल होते हैं,
वहाँ हुनरमंदों के सपने बेहाल होते हैं,
वो मुल्क़ कभी तरक्की नहीं कर सकता,
जहाँ के वज़ीर ही दलाल होते हैं।

Jahaan Pakshpaat Ke Faile Jaal Hote Hain,
Wahaan Hunaramandon Ke Sapne Behaal Hote Hain,
Wo Mulk Kabhi Tarakki Nahin Kar Sakta,
Jahaan Ke Wazeer Hi Dalaal Hote Hain.

-Advertisement-

Deeya Unke Bhi Naam Ka

एक दीया उनके भी नाम का
रख लो पूजा की थाली में,
जिनकी सांसे थम गई हैं
भारत माँ की रखवाली में।

Ek Deeya Unke Bhi Naam Ka
Rakh Lo Pooja Ki Thaali Mein,
JinKi Saanse Tham Gayi Hain
Bhaarat Maa Ki Rakhwali Mein.

Sarhad Tumhein Pukaare

Sarhad Tumhein Pukaare Shayari

सरहद तुम्हें पुकारे तुम्हें आना ही होगा,
कर्ज अपनी मिट्टी का चुकाना ही होगा,
दे करके कुर्बानी अपने जिस्मो-जां की,
तुम्हे मिटना भी होगा मिटाना भी होगा।

Sarhad Tumhein Pukaare Tumhein Aana Hi Hoga,
Karz Apni Mitti Ka Chukaana Hi Hoga,
De Karke Qurbani Apne Jismo-Jaan Ki,
Tumhein Mitna Bhi Hoga Mitaana Bhi Hoga.

-Advertisement-

Shaheedon Ki Shahaadat

अब तो मेरी कलम भी रो पड़ी है,
शहीदों की शहादत लिखते लिखते।

Ab To Meri Kalam Bhi Ro Padi Hai,
Shaheedon Ki Shahaadat Likhte Likhte.

-Advertisement-

Pyara Hindustaan Niklega

बच्चे बच्चे के दिल में कोई अरमान निकलेगा,
किसी के रहीम तो किसी के राम निकलेगा,
मगर उनके दिल को चीर के देखा जाए,
तो उसमें हमारा प्यारा हिन्दुस्तान निकलेगा।

Bachche Bachche Ke Dil Mein Koi Armaan Niklega,
Kisi Ke Raheem To Kisi Ke Raam Nikalega,
Magar Unke Dil Ko Cheer Ke Dekha Jaye,
To Usmein Humara Pyara Hindustaan Niklega.

Kisi Gajre Ki Khushboo Ko

Kisi Gajre Ki Khushboo Ko Shayari

दोस्तों... एक सैनिक ने क्या खूब कहा है...

किसी गजरे की खुशबू को महकता छोड़ आया हूँ,
मेरी नन्ही सी चिड़िया को चहकता छोड़ आया हूँ,
मुझे छाती से अपनी तू लगा लेना... ऐ भारत माँ,
मैं अपनी माँ की बाहों को तरसता छोड़ आया हूँ।

Kisi Gajre Ki Khushboo Ko Mahekta Chhod Aaya Hoon,
Meri Nanhi Si Chidiya Ko Chahekta Chhod Aaya Hoon,
Mujhe Chhati Se Apni Tu Laga Lena... Ai Bharat Maa,
Main Apni Maa Ki Baahon Ko Tarasta Chhod Aaya Hoon.

-Advertisement-

अपनी आज़ादी को हम

अपनी आज़ादी को हम हरगिज़ मिटा सकते नहीं,
सर कटा सकते हैं लेकिन सर झुका सकते नहीं।