- Home
- Sad Shayari
- Page-13
सैड शायरी
Mohabbat Ka Deewana
Teri Aankhon Me Sachchai Ki Ek Raah Dikhayi Deti Hai,
Tu Hai Mohabbat Ka Deewana Aisi Chaah Dikhayi Deti Hai,
Maana Ke Thhokar Khayi Hai Zamane Me Bewafaon Se,
Par Tu Aashiq Hai Tujhme Mohabbat Ki Chah Dikhayi Deti Hai.
तेरी आँखों में सच्चाई की एक राह दिखाई देती है,
तू है मोहब्बत का दीवाना ऐसी चाह दिखाई देती है,
माना कि ठोकर खाई है जमाने में बेवफाओं से,
पर तू आशिक है तुझमें मोहब्बत की चाह दिखाई देती है।
शख़्स भी मेरा नहीं हुआ
देखूँ तो एक शख़्स भी मेरा नहीं हुआ।
Kuchh Hum Jaise Barbaad Hue
इस मोहब्बत की किताब के,
बस दो ही सबक याद हुए,
कुछ तुम जैसे आबाद हुए,
कुछ हम जैसे बरबाद हुए।
Iss Mohabbat Ki Kitaab Ke,
Bas Do Hi Sabak Yaad Hue,
Kuchh Tum Jaise Aabaad Hue,
Kuchh Hum Jaise Barbaad Hue.
Meri Baatein Rulayengi
Meri Yaadein, Mera Chehra, Meri Baatein Rulayengi,
Hijr Ke Daur Mein, Gujari Mulakatein Rulayengi,
Din Toh Chalo Tum Kaat Bhi, Loge Fasaanon Mein,
Jahan Tanha Rahoge Tum, Tumhein Raatein Rulayengi.
मेरी यादें, मेरा चेहरा, मेरी बातें रुलायेंगी,
हिज़्र के दौर में, गुज़री मुलाकातें रुलायेंगी,
दिन तो चलो तुम काट भी लोगे फसानों में,
जहाँ तन्हा रहोगे तुम, तुम्हें रातें रुलायेंगी।
Wo Mera HumSafar
वो मेरा हमसफर भी था वो मेरा राहगुजर भी था,
मंजिलें ही एक न थीं, दरमियाँ ये फासला भी था।
Wo Mera HumSafar Bhi Tha Wo Mera Rahgujar Bhi Tha,
Manzilein Hi Ek Na Theen, Darmiyaan Ye Fasla Bhi Tha.
Husn-o-Ishq To Dhokha Hai
किसी का यूँ तो हुआ कौन उम्र भर फिर भी,
ये हुस्न ओ इश्क़ तो धोखा है सब मगर फिर भी।
Kisi Ka Yoon To Hua Kaun Umr Bhar Phir Bhi,
Ye Husn-o-Ishq To Dhokha Hai Sab Magar Phir Bhi.
Raaste Khud Hi Tabaahi Ke
रास्ते खुद ही तबाही के निकाले हमने,
कर दिया दिल किसी पत्थर के हवाले हमने,
हमें मालूम है क्या चीज़ है मोहब्बत यारो,
घर अपना जला कर किये हैं उजाले हमने।
Raaste Khud Hi Tabaahi Ke Nikaale Humne,
Kar Diya Dil Kisi Patthar Ke Havaale Humne,
Humein Maaloom Hai Kya Cheez Hai Mohabbat Yaaro,
Ghar Apna Jala Kar Kiye Hain Ujaale Humne.
Talkh Jawaab-e-Wafa
ऐसा तल्ख़ जवाबे-वफ़ा पहली ही दफा मिला,
हम इस के बाद फिर कोई अरमां न कर सके।
Aisa Talkh Jawaab-e-Wafa Pehli Hi Dafaa Mila,
Hum Iss Ke Baad Phir Koi Armaan Na Kar Sake.