- Home
- Tanhaai Shayari
- Page-4
तन्हाई शायरी
Aaj Tanaha Hoon To
दोस्त बन कर भी नहीं साथ निभाने वाला,
वही अंदाज़ है ज़ालिम का ज़माने वाला,
तेरे होते हुए आ जाती थी दुनिया सारी,
आज तनहा हूँ तो कोई नहीं आने वाला।
Dost Ban Kar Bhi Nahin Saath Nibaane Wala,
Wohi Andaaz Hai Zaalim Ka Zamane Wala,
Tere Hote Huye Aa Jaati Thi Duniya Saari,
Aaj Tanaha Hoon To Koi Nahin Aane Wala.
Sukoon Unko Nahi
Zid Mein Aakar Unn Se Talluq Tod Liya Humne,
Ab Sukoon Unko Nahi Aur Be-Qarar Hum Bhi Hain.
जिद में आकर उनसे ताल्लुक तोड़ लिया हमने,
अब सुकून उनको नहीं और बेकरार हम भी हैं।
Tanhaai Mein Aankhon Se
विशाल बाबूकहीं पर शाम ढलती है कहीं पर रात होती है,
अकेले गुमसुम रहते हैं न किसी से बात होती है,
तुमसे मिलने की आरज़ू दिल बहलने नहीं देती,
तन्हाई में आँखों से रुक-रुक के बरसात होती है।
Kahin Par Shaam Dhalti Hai Kahin Par Raat Hoti Hai,
Akele Gumsum Rehte Hain Na Kisi Se Baat Hoti Hai,
Tumse Milne Ki Aarzoo Dil Behlane Nahin Deti,
Tanhaai Mein Aankhon Se Ruk-Ruk Ke Barsaat Hoti Hai.
Abhi Abhi Wo Mila
अभी अभी वो मिला था हज़ार बातें कीं,
अभी अभी वो गया है मगर ज़माना हुआ।
Abhi Abhi Wo Mila Tha Hazaar Baatein Keen,
Abhi Abhi Wo Gaya Hai Magar Zamaana Hua.
Tere Aane Ki Khabar
तेरे आने की खबर मुझे ये हवाएं देती हैं,
तेरे मिलने को मेरी हर साँस तरसती है,
तू कब आके मिलेगी अपने इस दीवाने से,
तुझसे मिलने को मेरी आवाज तरसती है।
Tere Aane Ki Khabar Mujhe Ye Hawaaein Deti Hain,
Tere Milne Ko Meri Har Saans Tarasti Hai,
Tu Kab Aake Milegi Apne Is Deewaane Se,
Tujhse Milne Ko Meri Aawaaj Tarasti Hai.
Gujar To Jayegi
Gujar To Jayegi Tere Bagair Bhi Lekin,
Bahut Udaas... Bahut Be-Karar Gujregi.
गुजर तो जाएगी तेरे बगैर भी लेकिन
बहुत उदास बहुत बे-क़रार गुजरेगी।
Mile Bhi To Kya Mile
हम मिले भी तो क्या मिले,
वही दूरियाँ वही फ़ासले,
न कभी हमारे कदम बढ़े,
न कभी तुम्हारी झिझक गई।
Hum Mile Bhi To Kya Mile,
Wahi Dooriyaan Wahi Faasle,
Na Kabhi Humare Kadam Badhe,
Na Kabhi Tumhari Jhijhak Gayi.
Tu Nahi Zindagi Mein
Tu Nahi To Zindagi Mein Aur Kya Rah Jayega,
Dur Tak Tanhayion Ka Silsila Rah Jayega,
Aankhein Taaza Manjaron Mein Kho To Jayengi Magar,
Dil Puraane Mausamo Ko Dhhoondta Rah Jayega.
तू नहीं तो ज़िंदगी में और क्या रह जायेगा,
दूर तक तन्हाइयों का सिलसिला रह जायेगा,
आँखें ताजा मंजरों में खो तो जायेंगी मगर,
दिल पुराने मौसमों को ढूंढ़ता रह जायेगा।