- Home
- Two Line Shayari
- Page-18
दो लाइन शायरी
Chaman Me Aashiyan Apna
Hame Bhi Yaad Rakhen Jab Likhen Tareekh Gulshan Ki,
Ki Humne Bhi Lutaya Hai Chaman Me Aashiyan Apna!
हमें भी याद रखें जब लिखें तारीख गुलशन की,
कि हमने भी लुटाया है चमन में आशियां अपना।
Deedar Ki Talab
Deedar Ki Talab Hai To Nazre Jamaaye Rakh,
Kyuki Naqaab Ho Ya Naseeb Sarakta Jaroor Hai!
दीदार की तलब हो तो नज़रे जमाये रख,
क्युकि नकाब हो या नसीब सरकता जरुर है।
Hukumat Bajuon Ke Zor Par
Hukumat Bajuon Ke Zor Par To Koyi Bhi Kar Le,
Jo Sabke Dil Pe Chha Jaaye Use Insaan Kahte Hain!
हुकूमत बाजुओं के ज़ोर पर तो कोई भी कर ले,
जो सबके दिल पे छा जाए उसे इंसान कहते हैं।
Hum Bhi Dariya Hain
Hum Bhi Dariya Hain Hame Apna Hunar Malum Hai,
Jis Taraf Bhi Chal Padenge Raasta Ho Jayega !
हम भी दरिया हैं, हमें अपना हुनर मालूम है,
जिस तरफ़ भी चल पड़ेगे, रास्ता हो जाएगा।।
Roz Kahta Hoon
Roz Kahta Hoon Na Jaaunga Kabhi Ghar Uske...
Roz Us Ke Kuche Me Koyi Kaam Nikal Aata Hai !!
रोज कहता हूँ न जाऊँगा कभी घर उसके...
रोज उस के कूचे में कोई काम निकल आता है।।
Kya Ghazab Hai Uski Khamoshi
Kya Ghazab Hai Uski Khamoshi...
Mujhse Baaten Hajaar Karti Hai !!
क्या गज़ब है उसकी ख़ामोशी...
मुझ से बातें हज़ार करती है...।।
Teri Yaaden Bhi Bachpan
Teri Yaaden Bhi Bachpan Ke Khilone Jaisi Hain,
Tanha Hota Hoon To Inhen Lekar Baith Jata Hoon!
तेरी यादें भी मेरे बचपन के खिलौने जैसी हैं,
तन्हा होता हूँ तो इन्हें लेकर बैठ जाता हूँ...।
Thak Gaya Hoon
Thak Gaya Hoon Teri Naukari Se Ai Zindgi,
Munaasib Hoga Mera Hisaab Kar De ...!
थक गया हूँ तेरी नौकरी से ऐ जिन्दगी,
मुनासिब होगा मेरा हिसाब कर दे...।