- Home
- Uncategorized
Uncategorized in Hindi
Dharti Khatre Mein Hai
अपने पड़ोसियों के बर्तन चुराया जाए,
मंसूबा ये है कि पैसा कमाया जाए,
खुद ही काट के सारे पेड़ जंगलों के,
धरती खतरे में है ये चिल्लाया जाए।
Apne Padosiyon Ke Bartan Churaya Jaye,
Mansooba Ye Hai Ki Paisa Kamaya Jaye.
Khud Hi Kaat Ke Saare Ped Jangalon Ke,
Dharti Khatre Mein Hai Ye Chillaya Jaye.
Feka Hua Kisi Ka
Feka Hua Kisi Ka,
Na Chhina Hua Mile,
Mujhe Bus Mere Naseeb Ka,
Likha Hua Mile,
Na Mila Ye Bhi To Kuchh,
Gham Nahi Mere Dost,
Naseeb Ki Thokar To,
Har Kisi Ko Milti Hai,
Mujhe Bas Meri Mehnat Ka
Kiya Hua Mile !
फेंका हुआ किसी का,
न छिना हुआ मिले,
मुझे बस मेरे नसीब का,
लिखा हुआ मिले,
ना मिला ये भी तो कुछ
गम नहीं मेरे दोस्त,
नसीब की ठोकर तो,
हर किसी को मिलती है,
मुझे बस मेरी मेहनत का
किया हुआ मिले ।
Kuchh Ko Khwaab
Kuchh Ko Khwaab Dekh Ke
Jeene Ki Aadat Hai,
Kuchh Ko Maikhane Me
Peene Ki Aadat Hai !
Hum Hain Pareshaan Deewanapan
Ki Aadaton Se,
Par Jaane Kyun Shaadi Ki
Shahnayion Se Darte Hain !
कुछ को ख्वाब देख के
जीने की आदत है,
कुछ को मैखाने में
पीने की आदत है ।
हम हैं परेशां दीवानापन
की आदतों से,
पर जाने क्यों शादी की
शहनाईयों से डरते हैं ।