- Home
- Yaad Shayari
- Page-10
याद शायरी
Mehek Si Hain Teri Yaadein
Kuchh KhoobSoorat Palon Ki Mehek Si Hain Teri Yaadein,
Sukoon Ye Bhi Hai Ke Ye Kabhi Murjhati Nahi Hain.
कुछ खूबसूरत पलों की महक सी हैं तेरी यादें,
सुकून ये भी है कि ये कभी मुरझाती नहीं।
Shayari Yaad Tumhari Aayegi
Jab Tak Jaan Hai Bas Yaad Tumhari Aayegi,
Aakar Har Khushi Mein Mere Dil Ko Rulayegi.
जब तक जान है बस याद तुम्हारी आयेगी,
आकर हर खुशी में मेरे दिल को रुलाएगी।
Le Jaao Apni Yaadein
Majboor Nahin Karenge Tujhe Waade Nibhane Ke Liye,
Bas Ek Baar Aa Jaa Apni Yaadein Wapas Le Jane Ke Liye.
मजबूर नही करेंगे तुझे वादे निभानें के लिए,
बस एक बार आ जा, अपनी यादें वापस ले जाने के लिए।
Yaadon Ko Dil Mein
Uski Yaadon Ko Dil Mein Chhupa Nahi Sakta,
Uske Chehre Ki Muskaan Kabhi Bhula Nahi Sakta,
Mera Bas Chalta Toh Uski Har Yaad Bula Deta,
Lekin Apne Iss Dil Ko Main Samjha Nahi Sakta.
उसकी यादों को किसी कोने में छुपा नहीं सकता,
उसके चेहरे की मुस्कान कभी भुला नहीं सकता,
मेरा बस चलता तो उसकी हर याद को भूल जाता,
लेकिन इस टूटे दिल को मैं समझा नहीं सकता।
Kuchh Yaadein Hain Tumhari
तेरी यादें हर रोज़
आ जाती हैं मेरे पास,
लगता है तुमने बेवफ़ाई
नहीं सिखाई इनको।
Teri Yaadein Har Roj
Aa Jaati Hain Mere Paas,
Lagta Hai Tumne Bewafai
Nahi Sikhayi Inn Ko.
शिकायत करूँ तो किससे करूँ,
ये तो क़िस्मत की बात है,
तेरी सोच में भी मैं नहीं,
मुझे लफ्ज़ लफ्ज़ तू याद है।
Shikayat Karun Toh Kis Se Karun
Ye Toh Kismat Ki Baat Hai,
Teri Soch Mein Bhi Main Nahi
Mujhe Lafz Lafz Tu Yaad Hai.
हमारे पास तो बस कुछ
यादें है तुम्हारी...
जिन्दगी उन्हें मुबारक
जिनके पास तुम हो।
Humare Paas Toh Bas Kuchh
Yaadein Hain Tumhari,
Zindagi Unhein Mubarak
Jinke Paas Tum Ho.
Phir Teri Yaad Mein
Phir Palat Rahin Hain Sardiyon Ki Suhaani Raatein,
Phir Teri Yaad Mein Jalne Ke Zamane Aa Gaye.
फिर पलट रही हैं सर्दियों की सुहानी रातें,
फिर तेरी याद में जलने के जमाने आ गए।
Bhooli Hui Yaadein
Jahan Bhooli Hui Yaadein Daaman Thaam Lein Dil Ka,
Wahan Se Ajnabi BanKar Gujar Jana Hi Achha Hai.
जहाँ भूली हुई यादें दामन थाम लें दिल का,
वहां से अजनबी बन कर गुज़र जाना ही अच्छा है।
Teri Yaad Ka Aana
Jaruri To Nahi Hai Ke Tujhe Aankhon Se Hi Dekhun,
Teri Yaad Ka Aana Bhi Tere Deedar Se Kam Nahi.
जरूरी तो नहीं है कि तुझे आँखों से ही देखूँ,
तेरी याद का आना भी तेरे दीदार से कम नहीं।