हिंदी शायरी

Yehi Iljaam Bahut Hai

तुम मेरे लिए अब कोई इल्जाम न ढूँढो,
चाहा था तुम्हें एक यही इल्जाम बहुत है।

Tum Mere Liye Ab Koi Iljaam Na Dhoondho,
Chaaha Tha Tumhein Ek Yehi Iljaam Bahut Hai.

-Advertisement-

Sarhad Tumhein Pukaare

Sarhad Tumhein Pukaare Shayari

सरहद तुम्हें पुकारे तुम्हें आना ही होगा,
कर्ज अपनी मिट्टी का चुकाना ही होगा,
दे करके कुर्बानी अपने जिस्मो-जां की,
तुम्हे मिटना भी होगा मिटाना भी होगा।

Sarhad Tumhein Pukaare Tumhein Aana Hi Hoga,
Karz Apni Mitti Ka Chukaana Hi Hoga,
De Karke Qurbani Apne Jismo-Jaan Ki,
Tumhein Mitna Bhi Hoga Mitaana Bhi Hoga.

-Advertisement-

Ghai Ki Baahon Mein

Nafrat Ko Mohabbat Ki Aankhon Mein Dekha,
Berukhi Ko Unki Adaaon Mein Dekha,
Aankhein Nam Huin Aur Main Ro Pada,
Jab Apne Ko Ghairon Ki Baahon Mein Dekha.

नफरत को मोहब्बत की आँखों में देखा,
बेरुखी को उनकी अदाओं में देखा,
आँखें नम हुईं और मैं रो पड़ा...
जब अपने को गैरों की बाहों में देखा।

Main Kaajal Ban Jaaun

Main Kaajal Ban Jaaun Shayari

तेरी नीली आँखों का मैं काजल बन जाऊं,
तेरी आँखों में आँसू का मैं बादल बन जाऊं,
ख्वाहिश तो मेरी हर पल है इतनी,
तेरे रस्ते के काँटों का मैं चादर बन जाऊं।

Teri Neeli Aankhon Ka Main Kaajal Ban Jaaun,
Teri Aankhon Mein Aansoo Ka Main Baadal Ban Jaoon,
Khwaahish To Meri Har Pal Hai Itni,
Tere Raste Ke Kaanton Ka Main Chaadar Ban Jaoon.

-Advertisement-

Gairon Ke Liye Maheke

Jin Phoolon Ko Sanwara Tha
Humne Apni Mohabbat Se,
Huye Khushboo Ke Kabil Toh
Bas Gairon Ke Liye Maheke.

जिन फूलों को संवारा था
हमने अपनी मोहब्बत से,
हुए खुशबू के काबिल तो
बस गैरों के लिए महके।

-Advertisement-

Jaam Honthhon Se

Kabhi Dekhenge Ai Jaam
Tujhe Honthhon Se LagaKar,
Tu Mujhme Utarta Hai
Ke Main Tujhme Utarta Hun.

कभी देखेंगे ऐ जाम
तुझे होठों से लगाकर,
तू मुझमें उतरता है
कि मैं तुझमें उतरता हूँ।

Har Pal Unki Yaad

नजरें उन्हें देखना चाहे तो आँखों का क्या कसूर,
हर पल याद उनकी आये तो साँसों का क्या कसूर,
वैसे तो सपने पूछकर नहीं आते,
पर सपने उनके ही आये तो हमारा क्या कसूर।

Najarein Unhein Dekhna Chaahe To Aankhon Ka Kya Kasoor,
Har Pal Yaad Unaki Aaye To Saanson Ka Kya Kasoor,
Waise To Sapne Poochh Kar Nahin Aate,
Par Sapne Unke Hi Aaye To Humara Kya Kasoor.

-Advertisement-

Tu Phir Se Bewafai Karna

Chalo Khelein Wahi Baazi
Jo Puraana Khel Hai Tera,
Tu Phir Se Bewafai Karna
Main Phir Aansoo Bahaunga.

चलो खेलें वही बाजी
जो पुराना खेल है तेरा,
तू फिर से बेवफाई करना
मैं फिर आँसू बहाऊंगा।