ग़म शायरी

Wo Ek Raat Kya Jala

वो एक रात क्या जला तो उसे चिराग कह दिया,
हम बरसों से जल रहे हैं कोई तो खिताब दो।

Wo Ek Raat Kya Jala To Use Chiraag Keh Diya,
Hum Barson Se Jal Rahe Hain Koyi To Khitaab Do.

-Advertisement-

Har Gham Chhupa Liya

Jeene Ka Matlab Mohabbat Mein Paa Liya,
Jiska Bhi Gham Mila Usey Apna Bana Liya,
Aap Rokar Bhi Gham Na Halka Kar Sake,
Maine Hansi Ki Aarh Mein Har Gham Chhupa Liya.

जीने का मतलब मैंने मोहब्बत में पा लिया,
जिसका भी ग़म मिला उसे अपना बना लिया,
आप रोकर भी ग़म न हल्का कर सके,
मैंने हँसी की आढ़ में हर ग़म छुपा लिया।

-Advertisement-

Hum Tere Na Ho Paye

मोहब्बत भी, शरारत भी, शराफत भी, इबादत भी,
बहुत कुछ करके देखा फिर भी हम तेरे न हो पाए।

Mohabbat Bhi, Shararat Bhi, Sharafat Bhi, Ibaadat Bhi,
Bahut Kuchh Karke Dekha Phir Bhi Hum Tere Na Ho Paye.

Bichhad Kar Teri Duniya Se

Bichhad Kar Teri Duniya Se Shayari

Shikayat Kya Karun Dono Taraf Gham Ka Fasana Hai,
Mere Aage Mohabbat Hai Tere Aage Zamana Hai,
Pukara Hai Tujhe Manzil Ne Lekin Main Kahan Jaaun,
Bichhad Kar Teri Duniya Se Kahan Mera Thhikana Hai.

शिकायत क्या करूँ दोनों तरफ ग़म का फसाना है,
मेरे आगे मोहब्बत है तेरे आगे ज़माना है,
पुकारा है तुझे मंजिल ने लेकिन मैं कहाँ जाऊं,
बिछड़ कर तेरी दुनिया से कहाँ मेरा ठिकाना है।

-Advertisement-

Dil Mein Kisi Ka Gham Hai

Ab Agar Khushi Mil Bhi Gayi
Toh Kahan Rakhenge Hum,
Aankhon Mein Hasratein Hain
Aur Dil Mein Kisi Ka Gham.

अब अगर खुशी मिल भी गई
तो कहाँ रखेंगे हम,
आँखों में हसरतें हैं
और दिल में किसी का ग़म।

-Advertisement-

Ada Hai Gam Bhulaane Ki

ख्यालों में मेरे कभी आप भी खोये होंगे,
खुली आँखों से कभी आप भी सोये होंगे,
माना हँसी अदा है गम भुलाने की लेकिन
हँसते-हँसते कभी आप भी रोये होंगे।

Khyalon Mein Mere Kabhi Aap Bhi Khoye Honge,
Khuli Aankhon Se Kabhi Aap Bhi Soye Honge,
Maana Hansi Ada Hai Gam Bhulaane Ki Lekin,
Hansate-Hansate Kabhi Aap Bhi Roye Honge.

Gham Aasmaan Ko Suna Diya

मैंने अपना ग़म आसमान को सुना दिया...
शहर के लोगों ने बारिश का मजा लिया।

Main Ne Apna Gham Aasmaan Ko Suna Diya...
Shahar Ke Logon Ne Baarish Ka Maja Liya.

-Advertisement-

Gam Se Rahat Nahin Mili

Gam Se Rahat Nahin Mili Shayari

नफरत लाख मिली मुझे चाहत नहीं मिली,
ज़िन्दगी बीत चली पर ग़म से राहत नहीं मिली,
उसकी महफ़िल में हर शख्स को हँसते देखा,
एक हम थे कि हँसने की भी इजाज़त नहीं मिली।

Nafrat Laakh Mili Mujhe Chaahat Nahin Mili,
Zindagi Beet Chali Par Gam Se Rahat Nahin Mili,
Uski Mehfil Mein Har Shakhs Ko Hanste Dekha,
Ek Hum The Ki Hansne Ki Bhi Ijaazat Nahin Mili.