- Home
- Gham Shayari
- Page-6
ग़म शायरी
Wo Roya Bahut
Dekha Palat Ke Usne Chahat Usey Bhi Thi,
Duniya Se Meri Tarah Shikayat Usey Bhi Thi,
Wo Roya Bahut Mujhko Pareshaan Dekhkar,
Uss Din Pata Chala Meri Jarurat Usey Bhi.
देखा पलट के उसने चाहत उसे भी थी,
दुनिया से मेरी तरह शिकायत उसे भी थी,
वो रोया बहुत मुझको परेशान देख कर,
उस दिन पता चला की मेरी जरुरत उसे भी थी।
Roj Ek Naya Gham
रोज एक नई तकलीफ रोज एक नया गम,
ना जाने कब ऐलान होगा कि मर गए हम।
Roj Ek Nayi Takleef Roj Ek Naya Gham,
Na Jaane Kab Ailaan Hoga Ki Mar Gaye Hum.
Gam Ki Har Gali Ka
सिसकती हुई ज़िन्दगी का मजा हमसे पूछिये,
मोहब्बत में जो मिली वो सजा हमसे पूछिए,
क्यों फिरते हो उदास तुम इस गम की तलाश में,
गम की हर गली का पता हमसे पूछिए।
Sisakti Hui Zindagi Ka Maja Humse Poochhiye,
Mohabbat Mein Jo Mili Wo Saja Humse Poochhiye,
Kyon Firte Ho Udaas Tum Iss Gam Ki Talaash Mein,
Gam Ki Har Gali Ka Pata Humse Poochhiye.
Gham-e-Ishq Reh Gaya
ग़म-ए-इश्क रह गया है ग़म-ए-जुस्तज़ू में ढलकर,
वो नजर से छुप गए हैं मेरी जिंदगी बदल कर।
Gham-e-Ishq Reh Gaya Hai Gham-e-Justzoo Mein Dhalkar,
Wo Najar Se Chhup Gaye Hain Meri Zindagi Badal Kar.
Jeena Aasan Nahi Hota
Roj Karte Hain Qatl Hum Apne Khwaabon Ka,
Hakeeqat Mein Jeena Itna Aasan Nahi Hota.
रोज करते हैं कत्ल... हम अपने ख्वाबों का,
हकीकत में जीना इतना आसान नहीं होता।
Kisi Ko Khone Ka Gham
हमसे पूछो किसीको खोने का ग़म क्या होता है,
हँसते हँसते रोने का दर्द क्या होता है,
खुदा उसी से क्यों मिला देता है हमें,
जिसका साथ किस्मत में नहीं होता है।
Humse Poochho Kisi Ko Khone Ka Gam Kya Hota Hai,
Hanste Hanste Rone Ka Dard Kya Hota Hai,
Khuda Usee Se Kyon Mila Deta Hai Humein,
Jiska Saath Kismat Mein Nahin Hota Hai.
Udta Hua Gubaar
Udta Hua Gubaar Sar-e-Raah Dekh Kar,
Anjaam Humne Ishq Ka Socha Toh Ro Diye,
Baadal Fiza Mein Aapki Tasvir Ban Gaye,
Saaya Koi Khayal Se Gujra To Ro Diye.
उड़ता हुआ गुबार सर-ए-राह देख कर,
अंजाम हमने इश्क़ का सोचा तो रो दिए,
बादल फिजा में आप की तस्वीर बन गए,
साया कोई ख्याल से गुजरा तो रो दिए।
Gham Koi Na Samajh Paaya
एक हसरत थी सच्चा प्यार पाने की,
मगर चल पड़ी आँधियां जमाने की,
मेरा ग़म तो कोई ना समझ पाया,
क्यूंकि मेरी आदत थी सबको हँसाने की।
Ek Hasrat Thi Sachcha Pyaar Paane Ki,
Magar Chal Padi Aandhiyaan Zamane Ki,
Mera Gham To Koi Na Samajh Paaya,
Kyoonki Meri Aadat Thi Sabko Hansaane Ki.