जुदाई शायरी

Ho Judai Ka Sabab Kuchh Bhi

Ho Judai Ka Sabab Kuchh Bhi Magar,
Hum Usey Apni Khata Kahte Hain,
Wo To Saanson Mein Basi Hai Mere,
Jaane Kyun Log Mujhse Juda Kahte Hain.

हो जुदाई का सबब कुछ भी मगर,
हम उसे अपनी खता कहते हैं,
वो तो साँसों में बसी है मेरे,
जाने क्यों लोग मुझसे जुदा कहते हैं।

-Advertisement-

Judaai Me Har Roz

Yaad Me Teri Aanhe Bharta Hai Koi,
Har Saans Ke Saath Tujhe Yaad Karta Hai Koi,
Maut To Sachai Hai Aani Hi Hai,
Lekin Teri Judaai Me Har Roj Marta Hai Koyi.

याद में तेरी आँहें भरता है कोई,
हर सांस के साथ तुझे याद करता है कोई,
मौत तो सचाई है आनी ही है,
लेकिन तेरी जुदाई में हर रोज़ मरता है कोई।

-Advertisement-

Kisi Se Juda Hona

Kisi Se Juda Hona Itna Aasaan Hota Toh,
Rooh Ko Jism Se Lene Farishte Nahi Aate.

किसी से जुदा होना इतना आसान होता तो,
रूह को जिस्म से लेने फ़रिश्ते नहीं आते।

Sazado Me Siskata Dekho

Sazado Me Siskata Dekho Shayari

Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho,
Meri Rago Me Zahar Judayi Ka Utarata Dekho,
Kis Kis Adaa Se Tujhe Manga Hai Khudaa Se,
Aao Kabhi Mujhe Sazado Me Siskata Dekho !

आओ किसी शब मुझे टूट के बिखरता देखो,
मेरी रगों में ज़हर जुदाई का उतरता देखो,
किस किस अदा से तुझे माँगा है खुदा से,
आओ कभी मुझे सजदों में सिसकता देखो।

-Advertisement-

Bechain Dil Ne Pukara

Bechain Dil Ne Pukara Shayari

Socha Tha Mitakar Saari Nishaani Teri,
Chain Se So Jayenge !
Band Aankho Ne Aks Dekha Tera,
To Bechain Dil Ne Pukara Tujhko !

सोचा था कि मिटाकर सारी निशानी तेरी,
चैन से सो जायेंगे ।
बंद आँखो ने अक्स देखा तेरा,
तो बेचैन दिल ने पुकारा तुझको ।

-Advertisement-

Khud Mere Paas

Khud Mere Paas Shayari

Us Shakhs Ko Bichhadne Ka Tareeka Nahi Aata,
Jaate Jaate Khud Mere Paas Chhod Gaya !

उस शख्स को बिछड़ने का सलीका नहीं आता,
जाते जाते खुद को मेरे पास छोड़ गया...।

Har Mulakat Par Waqt Ka

Har Mulakaat Par Waqt Ka Takaza Hua,
Har Yaad Par Dil Ka Dard Taaza Hua,

Suni Thi Sirf Logon Se Judaai Ki Baatein,
Khud Par Beeti To Haqikat Ka Andaza Hua.

हर मुलाक़ात पर वक़्त का तकाज़ा हुआ,
हर याद पर दिल का दर्द ताज़ा हुआ,

सुनी थी सिर्फ लोगों से जुदाई की बातें,
खुद पर बीती तो हक़ीक़त का अंदाज़ा हुआ ।

-Advertisement-

Ai Chaand Chala Ja

Ai Chaand Chala Ja Shayari

Ai Chaand Chala Ja
Kyun Aaya Hai Tu Meri Chaukhat Par,
Chhod Gaya Wo Shakhs
Jis Ke Dhokhe Me Tujhe Dekhte The !

ऐ चाँद चला जा
क्यूँ आया है तू मेरी चौखट पर,
छोड़ गया वो शख्स
जिस के धोखे मे तुझे देखते थे ।