Life Shayari - जिंदगी शायरी

Aafat To Zindagi Hai

मौत से कैसा डर... मिनटों का खेल है,
आफत तो जिंदगी है बरसों चला करती है।

Maut Se Kaisa Dar... Minton Ka Khel Hai,
Aafat To Zindagi Hai Barason Chala Karti Hai.

-Advertisement-

Shikayat Nahin Ai Zidangi

तुझसे कोई शिकायत नहीं है ऐ जिदंगी
जो भी दिया है वही बहुत है।

Tujhse Koi Shikayat Nahin Hai Ai Zidangi
Jo Bhi Diya Hai Wohi Bahut Hai.

-Advertisement-

Zindagi To Meri Hai

चूम लेता हूँ हर मुश्किल को अपना मान कर मैं,
क्यूँकि ज़िन्दगी कैसी भी है... है तो मेरी ही।

Choom Leta Hoon Har Mushkil Ko Apna Maan Kar Main,
Kyoonki Zindagi Kaisi Bhi Hai... Hai To Meri Hi.

Jahan Zindagi Ki

Jahan Zindagi Ki Shayari

Kabhi Dhoop De Kabhi Badliyan,
Dilo-Jaan Se Dono Kabool Hain,
Magar Uss Nagar Mein Na Qaid Kar,
Jahan Zindagi Ki Hawa Na Ho.

कभी धूप दे... कभी बदलियाँ,
दिलो जान से दोनों क़बूल हैं,
मगर उस नगर में न कैद कर,
जहाँ जिंदगी की हवा न हो।

-Advertisement-

Ek Saans Sabke Hisse Se

एक साँस सबके हिस्से से हर पल घट जाती है,
कोई जी लेता है जिंदगी किसी की कट जाती है।

Ek Saans Sabke Hisse Se Har Pal Ghat Jaati Hai,
Koi Jee Leta Hai Zindagi Kisi Ki Kat Jaati Hai.

-Advertisement-

Jab Thhes Lagti Hai To

लोग डूबते हैं तो समंदर को दोष देते हैं,
मंजिल न मिले तो मुकद्दर को दोष देते हैं,
खुद तो संभल कर चल नहीं सकते,
जब ठेस लगती है तो पत्थर को दोष देते हैं।

Log Doobte Hain To Samandar Ko Dosh Dete Hain,
Manzil Na Mile To Mukaddar Ko Dosh Dete Hain,
Khud To Sambhal Kar Chal Nahin Sakte,
Jab Thhes Lagti Hai To Patthar Ko Dosh Dete Hain.

Shukriya Ai Zindagi

Shukriya Ai Zindagi Shayari

शुक्रिया ज़िन्दगी... जीने का हुनर सिखा दिया,
कैसे बदलते हैं लोग चंद कागज़ के टुकड़ो ने बता दिया,
अपने परायों की पहचान को आसान बना दिया,
शुक्रिया ऐ ज़िन्दगी जीने का हुनर सिखा दिया।

Shukriya Zindagi... Jeene Ka Hunar Sikha Diya,
Kaise Badalte Hain Log Chand Kaagaz Ke Tukdo Ne Bata Diya,
Apne Paraayon Ki Pehchaan Ko Aasaan Bana Diya,
Shukriya Ai Zindagi Jeene Ka Hunar Sikha Diya.

-Advertisement-

Baarish Mein Rakh Doon Zindagi

Baarish Mein Rakh Doon Zindagi Shayari

बारिश में रख दूँ जिंदगी को
ताकि धुल जाए पन्नो की स्याही,
ज़िन्दगी फिर से लिखने का
मन करता है कभी-कभी।

Baarish Mein Rakh Doon Zindagi Ko
Taaki Dhul Jaaye Panno Ki Syaahi,
Zindagi Phir Se Likhne Ka
Man Karta Hai Kabhi-Kabhi.