- Home
- Hindi Urdu Ghazal
- Aanko Me Raha Dil
Aanko Me Raha Dil
Aanko Me Raha Dil Me Utar Kar Nahi Dekha,
Kashti Me Musafir Ne Samandar Nahi Dekha !
Bewaqt Agar Jaaunga To Sab Chauk Padenge,
Ek Umr Huyi Din Me Kabhi Ghar Nahi Dekha !
Jis Din Se Chala Hu Meri Manzil Pe Nazar Hai,
Aankho Ne Kabhi Meel Ka Patthar Nahi Dekha !
Ye Phool Mujhe Koyi Virasat Me Mile Hain,
Tumne Mera Kaanto Bhara Bistar Nahi Dekha !
Patthar Mujhe Kahta Hai Mera Chahne Wala,
Main Mom Hu Usne Mujhe Chhookar Nahi Dekha!
आँखों में रहा दिल में उतरकर नहीं देखा,
कश्ती के मुसाफ़िर ने समन्दर नहीं देखा ।
बेवक़्त अगर जाऊँगा, सब चौंक पड़ेंगे,
इक उम्र हुई दिन में कभी घर नहीं देखा ।
जिस दिन से चला हूँ मेरी मंज़िल पे नज़र है,
आँखों ने कभी मील का पत्थर नहीं देखा ।
ये फूल मुझे कोई विरासत में मिले हैं,
तुमने मेरा काँटों-भरा बिस्तर नहीं देखा ।
पत्थर मुझे कहता है मेरा चाहने वाला,
मैं मोम हूँ उसने मुझे छूकर नहीं देखा ।।