Apne Zakhmon Ka Ujala

Ye Hakiqat Hai Ke Hota Hai Asar Baaton Mein,
Tum Bhi Khul Jaoge Do-Char Mulakaaton Mein.

Tumse Sadiyon Ki Wafaaon Ka Koi Naata Na Tha,
Tumse Milne Ki Lakeerein Thi Mere Haathon Mein.

Tere Vaadon Ne Humein Ghar Se Nikalne Na Diya,
Log Mausam Ka Mazaa Le Gaye Barsaaton Mein.

Ab Na Sooraj Na Sitaare Na Shamaa Na Chaand,
Apne Zakhmon Ka Ujala Hai Ghani Raaton Mein.

ये हक़ीक़त है कि होता है असर बातों में,
तुम भी खुल जाओगे दो-चार मुलाकातों में,

तुमसे सदियों की वफाओं का कोई नाता न था,
तुमसे मिलने की लकीरें थीं मेरे हाथों में,

तेरे वादों ने हमें घर से निकलने न दिया,
लोग मौसम का मज़ा ले गए बरसातों में,

अब न सूरज न सितारे न शमां न चाँद,
अपने ज़ख्म़ों का उजाला है घनी रातों में।

-Advertisement-
-Advertisement-