- Home
- Bewafa Shayari
- Page-2
बेवफा शायरी
Hum Bewafai Karte Hain
आओ अब एक दूसरे की नकल करें
हम बेवफाई करते हैं आप गज़ल करें।
Aao Ab Ek Doosre Ki Nakal Karein,
Hum Bewafai Karte Hain Aap Ghazal Karein.
Uss Bewafa Ko Na Pyar
उस बेवफ़ा को न प्यार निभाना आया,
दिल की दौलत को यूं ही लुटाना आया,
वो मिल रहा था गैरों से बड़े सलीके से,
मेरी मय्यत पे भी मुझको जलाने आया।
Uss Bewafa Ko Na Pyar Nibhana Aaya,
Dil Ki Daulat Ko Yoon Hi Lutana Aaya,
Wo Mil Raha Tha Gairon Se Bade Saleeke Se,
Meri Mayyat Pe Bhi Mujhko Jalane Aaya.
Bewafai Sasti Hai
दिल के दरिया में धड़कन की कश्ती है,
ख्वाबों की दुनिया में यादों की बस्ती है,
मोहब्बत के बाजार में चाहत का सौदा है,
वफ़ा की कीमत से तो बेवफाई सस्ती है।
Dil Ke Dariya Mein Dhadkan Ki Kashti Hai,
Khwabon Ki Duniya Mein Yaadon Ki Basti Hai,
Mohabbat Ke Bazaar Mein Chahat Ka Sauda Hai,
Wafa Ki Keemat Se To Bewafai Sasti Hai.
Wo Badal Gaye The
ढूंढ़ तो लेते अपने प्यार को हम,
शहर में भीड़ इतनी भी न थी,
पर रोक दी तलाश हमने,
क्योंकि वो खोये नहीं बदल गए थे।
Tum Bewafa Ho Jaaoge
Apne Tajurbe Ki Aazmaish Ki Zidd Thi,
Varna Humko Tha Maloom Ki Tum Bewafa Ho Jaoge.
अपने तजुर्बे की आज़माइश की ज़िद थी,
वर्ना हमको था मालूम कि तुम बेवफा हो जाओगे।
Afsos Tere Badalne Ka
नजारे तो बदलेंगे ही ये तो कुदरत है,
अफसोस तो हमें तेरे बदलने का हुआ है।
Najaare To Badlenge Hi Ye To Kudarat Hai,
Afsos To Humein Tere Badalne Ka Huaa Hai.
Bewafa Hona Jaroori
नोशी गिलानीमोहब्बत से रिहा होना जरूरी हो गया है,
मेरा तुझसे जुदा होना जरूरी हो गया है,
वफ़ा के तजुर्बे करते हुए तो उम्र गुजरी,
जरा सा बेवफा होना जरूरी हो गया है।
Mohabbat Se Riha Hona Jaroori Ho Gaya Hai,
Mera Tujhse Juda Hona Jaroori Ho Gaya Hai,
Wafa Ke Tajurbe Karte Huye To Umr Gujri,
Jara Sa Bewafa Hona Jaroori Ho Gaya Hai.
Uski Bewafai Ki Aandhiyaan
Ye Chiraag-e-Jaan Bhi Ajeeb Hai,
Ki Jala Hua Hai Abhi Talak,
Uski Bewafai Ki Aandhiyaan To,
Kabhi Ki Aa Ke Gujar Gayin.
ये चिराग-ए-जान भी अजीब है,
कि जला हुआ है अभी तलक,
उसकी बेवफाई की आँधियाँ तो,
कभी की आ के गुजर गईं।